Question: Agr roza ki halat main biwi se humbistri kar le to roza to toot jata hai lekin kia is ka kufara dono mian bowi ko apna apna ada karna hoga ya sirf husband ko?
Answer: Agar rozedaar ramzan main apni rozedaar bivi se jima kare tu agar os ne bivi ko majboor kia ho tu apne roze ka kaffara or ehtiyaat ki bina per zarori hay k apni bivi k roze ka bhi kaffara day or agar bivi jima per razi ho tu har aik per aik aik kaffara wajib ho jata hay. (Ref: Update on dated 27-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum Mera swal ye hai k rozy ki halat mein kisi na mehram k sath romance krna or Mani ka kharij ho jany sy roza rhy ga k nhi kindly tell me
Answer: Agar rozedaar mani nikalne k irade k baghair kisi aurat se cheerh chaar or hansi mazaq kare or osay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey ,tu os ka roza sahi hay, albattah agar osay itminaan nah ho tu os sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1576). Update on dated 30-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Namehram se muhabbat ka izhaar kerna jaiz nahi hay.
Question: Salam Kya roze ki halat Mai naak Sy khoon anaa (Nakseer) Sy roza batil ho Jata hai ya Nahi?? Or Aksar Nakseer k baad balgam Mai khoon ataa hai Iss k bary Mai Kya hukum ho ga ??
Answer: Roze main naak se khoone aanay se roza batil nahi hota. Roze ki halat main balghan nigalna tu jaiz hay laikin agar os per khoon bhi laga ho tu phir nigalna jaiz nahi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1553,1561,1555). Update on dated 31-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam mere do sawal hain 1) kia roze ki halat mein cigarette pena jaiz h? 2) aj kal jo perfumes atey hyn ya body sprays un mein Alcohol hti h to kia wo lga kr namz parhna jaiz h?
Answer: 1-Ehtiyaat e wajib ki bina per roze daar sigrait or tambako ka dhuaan halaq tak nah pohchaey. 2- Sanati or tibbi alcohol ki tamaam aqsaam paak hain. Is laiy alcohol wala perfume laga ker namaz perh sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1587,109). Update on dated 02-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr Roxy ke halut me phone py bv se rumance krty huy bht shewat Ajay or mushtzani ho jay (hlaky mushtzani is irada blkul be na ho)tokiaa roza tooty ga or Kia ispy kafara or qaza hoga????
Answer: Roze ki halat main mushtzani kerne se roza batil ho jata hay,or rozay ki qaza or kaffara wajib ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1569,1630). Update on dated 02-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia rozy ki halat mai thok py skty hai
Answer: Rozedaar k liay roze main thook peena jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1560). Update on dated 05-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya khoon nikalne se wazu toot jata ha
Answer: Jee nahi khoon ka nikalna mubtilaat e roza mai sai nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322). [Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Test k lie blood sample dene se roza jaaiz hai k batil? Blood donate krne se roza baki rehta hai? Jazak Allah Al Khair
Answer: Khoon denay say roza batil nahi hota hai albattah agar kamzoori ka bais ho to rozay dar k lie makrooh hai, aam tau per sample k liay khoon daine se kamzoori nahi hoti Q k sample k khoon ki miqdaar bohot hi kam hoti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition# 41, maslah #1629) [Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam , mainy 3 shaban ki shab ko mustahib roza rakhny ki niat ki pr subah uth kr nashta kr lia galti sy ,phir kuch dayr main yad aya k mera mustahib roza tha ,ab mujhy kia krna chaheye?
Answer: Galti sai agar khaa liya tou roza baatila nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#1556). [Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: roza ki halat main maan bachy ko doodh pila sakti hay ya nai
Answer: Jee pila sakti hain, is sai roza baatil nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#1553) [Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]