Question: Soye howe talam ho jaye rozay ke halat mae kya roza es say toot jata hay ya nhi
Answer: Jee nahi ehtilam se roza batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton#41, maslah#1570,1571). [Updated on 23-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawaal ye hai mera Dost hai wo Roza rakhta hai likin woh naswar rakhta hai Toh naswar rakhne se ouska roza tootjata hai? Aur Roza toot jane par kiya karna chahiya?
Answer: Moonh main niswaar rakhne se roza batil nahi hota, roza os sorat main batil hoga jab niswaar k zarraat ya nisawaar ka pani halaq se nechay jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1554). Update on dated 08-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamoalaikum Mera sawal ye h rozey ki Halat balgam nigalney se roza toot jata h kia?
Answer: Sar or seene ka balgham jab tak monh k andar wale hisse tak nah pohnche osay nigalne main koe haraj nahi llaikin agar wo monh main aajaey tu ehtiyaat e mustahab ye hay keh osay nah nigle. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1561). Update on dated 09-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Galti se muth nikal jae tu roza tota ha
Answer: Bay iktihyar mani nikal jaey tu us say roza baatil nahi hota lekin agar ikhtiyaar sai mani kharij ki hai tu qaza k saath kaffara bhi laazim hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1569,1570) [Updated on 12-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Roza rehkar sex karste Hai Kya
Answer: Roze ki halat main jima or istimna karne se roza batil ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1554). Update on dated 12-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr rozy ki halat mai pkhny yani poti se khoon ay to kya roza toot jay ga????
Answer: Nahi, is se roza batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1553) [Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar roza ma bwi ka sath bestri ho Jaye to Kia hum toba Kar Kay ghusl Kar lay Kia roza rahay ga.. Anjany m ho gaya"
Answer: Agar koe shaks bhool jaey keh roze se hay or jima kare tu os ka roza batil nahi hoga..(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#1568) [Updated on 15-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar insan per ghusal faraz ho jae to kya wo roza rakhny ke neyat kar sakta ha?
Answer: Ramzan main azaan subah tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai zarori hai k azan subh se phely ghusl karey or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa fiz zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masael 41th edition, maslah#1591, 1630). [Updated on 16-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum, rozy ki halat men biwi se lipat kar sony k bary mn kea hukm h? Jazakallah
Answer: Agar rozedaar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur per apni bivi se chairh chaarh or hansi mazaq kare or isay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey os ka roza sahi hay albattah agar osay itminaan nah ho tu os sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41th edition maslah 1576). [Updated on 16-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walaikum roza ka halat ma apna aap thora thora mani nikal jata h kya aasa hona sa roza tut jata h ya fir nii ? Age tut jata h toh iska hukum kya h kya krna chahiya
Answer: wsalam.Be ikhtiyar mani kahrij hone sai roza baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41, maslah#1570) [Updated on 16-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]