Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10478
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir jub bhi Mai apni wife ke sath leyta ho tu Pani sa nikal ta hai Kiya ius se gusal farza ho ta hai

Answer: 1 agar aap ko yaqeen hojaey keh wo mani hay to ghusl wajib hojaey ga lekin ik tandrust insan k badan se jab koi ratoobat kharij ho or wo ye na jaanta ho keh pishab hai keh mani ya koi or ratoobat to wo ratoobat 3 sharton k sath mani ka hukm rakhti hai 3 sharait hon ye hen 1 shehwat k sath nikli ho 2 uchal kar nikli ho 3 nikalne k bad badan sust ho gaya ho lekin ager in 3 alamaton men se sari ki sari ya kuch mojood nah hon to wo mani ka hukm nahi rakti yani use mani nahi kahenge (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41, edition maslah 345). wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat sex ubharne pr mard k aalaa e tanasul se kharij hoti hai use mazzi kehte hen or wo paak hai or wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k kharij hone k bad niklti hai use wazzi kehte hen ya phir wo ratoobat jo baz oqat peshab k bad nakalti hai use wadi kehte hen agr in bad wali 2 ratoobaton se peshab mila hua na ho to pak hai (Ref: ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41 edition maslah 70 s no 6499). [Updated on 18-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10482
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam wale kum Mera sawal ye h ki roze k halat me mai sex kiya lekin mai upar upar se hi karna chah raha tha but pura hogaya aur mani nikal gaye aur dusra ye ki kya roze k halat me sex karsakte h ya nai?

Answer: Agar rozedaar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur per apni bivi se chairh chaarh or hansi mazaq kare or isay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey os ka roza sahi hay albattah agar osay itminaan nah ho tu os sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref: ayatullah sistani d b tauzeehul masail 39th edition maslah 1576 update on dated 31 05 18 [Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10483
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar mani bina kapdon ku lage kharij hojaye aur aadmi bas istenja karke usi halat mai roza rakhle aur namaz Bhi padhle toh kya qusul wajib hone ke baad bhi namaz aur roza hojata hai? Jabke use pata ho ke mani khariz hogayi hai?

Answer: Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai zarori hai k azan subh se phely ghusl karey or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa fiz zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masael 41th edition maslah#1591,1630). [Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10484
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u alaikum sir kiya roza ki halat me fahas, gandi movie dekhny se roza toot jata hai ya nahi.

Answer: 1) Jinsi film (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shewat k sath nazar karna haraam hai balke Ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka beghair shewat k dekhna bhi haram hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal # 166,pg:82). 2) aik taweel riwayat is silsile main aae hay jis ka khulasa ye hay k roze main insan k tamaam azaa parts of body ka roza hona chahiay or ye roza behtareen or qabil e qobool roza hay. (Ref: Ayat ullah Sistani d.b, Minhaajus saliheen part 1 mafhoom e maslah 1013). [Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10486
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza rakh kar kya agar koi ashtama ka petient ho toh kya woh jo ashtama ka pump hota h woh dawa jo sans leke tani jati h kya woh karne se roza tut jata h plz answer me

Answer: Damay ki bimari me istemal hone wala spray inhaler agar dawa ko sirf phephoro lungs tak pounchae yani dawa ko sirf saans ki nali tak pounchae nah k khane ki nali tak to is se roza batil nahi hota hai (Ref: tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b, maslah#1557) [Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10489
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Kisi Ke Sar Mein dard ho aur woh Dard bardash Se Bahar Ho To Kya wo Sar Ki tablet kha sakta hai Jab ke use Roja bhi ho

Answer: Khane ya peene se roza batil ho jata hay. haan injestion lagwane se roza batil nahi hota lehaza aap dard ka injection lagwa sakte hain. (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition 35 mafhoom e maslah 1554,1557) update on dated 26 05 2019. [Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10491
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-0-Alaekum.... Sir mera sawal yeh hy k rozy ki halat m tobaccoo khana like gutka and aj kl jo yeh powder gutky chl rhy J.M 1 to 1 rajini wgera jaiz hy ya nhi

Answer: wsalam.jee nahi jaaiz nahi hai agar ye guthka wagaira moo mai rakha jaey or agar aik zarra bhi halaq sai neeche jaey ga tu roza baatil hojaaye ga or baad mai roza ki qaza k saath kaffara bhi daina hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah#1554) [Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If vomiting comes during fast?

Answer: Agar sehwan ya be ikhtiyaar ulti ho jaey to roza batil nahi hota hai (Ref: tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b masla#1618) [Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10496
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr rozay me intercourse k elawa kiss wagira hojaye apni biwi se to kya hukam hai or agr batil hao to kya kafara hai

Answer: Agar rozedaar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur per apni bivi se chairh chaarh or hansi mazaq kare or isay itminaan ho k mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey, os ka roza sahi hay albattah agar osay itminaan nah ho tu os sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41th edition maslah 1576). updated on 26-05-19. [Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10501
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza ki halt me istmna krna Jab is ka shaore Na tha to us ka kafara Kia hai

Answer: Agar jahil e qasir ho or roze main istimna karte waqt is k mubtilaat roza hone ka shak bhi nah ho tu phir roza batil nahi hoga.(Ref: Ayatullah sistani, tauzihul masael jaame, part#1, maslah#2028). [Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!