Question: Mra sawal ye h sehri se phly must zanni k ho or ghusal na kia ho to roza rkh skty h
Answer: Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai zarori hai k azan subh se phely ghusl karey or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa fiz zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masael 41th, edition maslah#1591, 1630). [Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alykum sir.. kia rozy ki halat may agr husband wife aik dosry ko touch karny se feelings generate ho jayn lekin koi discharge or intercourse na hua ho to kia roza batil ho jata hy?
Answer: Agar roze daar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur per apni bivi se cherh chaarh or hansi mazaq kare or osay itminaan ho keh mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey, tu os ka roza sahi hay. albattah agar osay itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref: Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b maslah#1576). [Updated on 24-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalmu Alikum agemr rozay ki halat mai mai apny husband sy baat kro or shehwat a jaye tw kya maira roza tot jaye ga? Plz guide me?
Answer: Faqat shewat aane se roza batil nahi hota. Agar humbistari ki jaey ya shewat k sath mani nikal aay tu roza batil hoga. (Ref: Tauzeeh e ul masael, Ayat ullaha sistani d b, maslah#1629, 1565, 1576). [Updated on 24-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia rozy mein waxing kr sakty hain?aur eyebrow b banwa sakty hain?
Answer: Roze main eyebrows banwana or waxing karwana jaiz hai aur is sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Deen k ahkaam pg 242 ques 760, Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41st edition, maslah#1553). [Updated on 24-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: آگر Øالت Ø±ÙˆØ²Û Ú¯ÙˆØ´ میں سرنج لگانے سے Ø±ÙˆØ²Û Ø¨Ø§Ø·Ù„ ÛÛ’ یا Ù†Ûیں
Answer: Jee nahi is sai roza baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#1557) [Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: hambistri karne se roza toot jaata he
Answer: Hambistari roze ko batil kardiati hay, chahay uzu e tanasul supari tak hi dakhil ho or mani bhi kharij nah hoe ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1565). Update on dated 23-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: روزے کی حالت میں نسوار منہ میں رکھنے سے روزہ باطل ہوتا ہے کی نہیں اور اسی طرح سگریٹ کے بارے میں کیا حکم ھے
Answer: Niswaar se roza os waqt toatay ga jab wo ya os ka arq(rus) halaq se nechay chala jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1554). Ehtiyaat e wajib ki bina per roze daar sigrait or tambako ka dhuaan halaq tak nah pohchaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1587). [Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam u Alaikum Mera swaal yeh hai ke agr sehri ke waqt Mazi ka niklna aur namaz Fajr na parh panna! Kya roza hoga yan nei ?
Answer: Mazi k nikalnay se roza batil nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum Sir, Mane roza rkha h Lekn mjy fajar ki Namaz k bad se din bhar Khatti dikar Jo k bad hazmi wali hoti h arai h Kia Mera roza hai?
Answer: Nahi, is se roza batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1553) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya rozy ki halat me ulti hone sy roza tot jata hai
Answer: Agar roze daar jaan boogh kar ulti kare tu agarche wo bimari wagira ki waja se aisa karne per majboor ho is ka roza batil hojata hay laikin Agar sehwan(yani iraday k baghair) ya be-ikhtiyaar ulti ho jaay to roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618) [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]