Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12219
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bach ko wash ( nahlany, poty, peshy ) krwany sy wadu toot jay ga??

Answer: G Nahin ye mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 322). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12249
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As a female rozy ki halat me najayez khyal ana.. Or isi halat me apny sath cherh char kr leny se roza toot jata ha? Khuk k baat kru to.. Finger insert kiye bgair. Bas bahir se cherna.. Or kesy in khyalo ko khud se dur rkha jaye

Answer: Nahin, is se roza batil nahin hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1553) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12250
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozay me zanjeer maarnay ka Kia hukm hai?Aaya roza baatil hojaata hai ya nhi?

Answer: G nahin is se roza batil nahin hota lekin Rozaydar k lie har aisa kaam krna jo kamzoori ka sabab ho makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629). [Updated on 23-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12254
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alikum, Mery py gusal e janabt wajib ho to kia main tayamum kr k roza rkh skta hon ya mujhy gusal krna hoga? JazakALLAH

Answer: Agar Azaan e Subha se pehle gusal e janabat nahi kar sakte to tayammum karain, or ager ye bhi na karain to roza batil hai, qaza o kaffara dono wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1594 , 1596 , [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12272
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Aalikum Cutting of Under arm hair and zare naff hair cleaning in Roza.

Answer: wsalam.jaiz hai is sai roza batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 1553). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12273
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Aalikum Cutting of under arm and zare naff hair in Rooza

Answer: wsalam.jaiz hai is sai roza batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 1553). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12282
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozy ki halat m ghusal irtimasi kiu nahi kiya ja sakta or agar koi bhuly sy karly tou is ky bary m kia hukum hai???.

Answer: Roze ki halat me irtimasi gusl kiya jaa sakta hai kiyon k pore Sar ko pani me dbone se roza batil nahe hota. Albetta shaded makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 360-70) [Updated on 23-May-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13007
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza kitni chezon se batil hota hai

Answer: Rozay ko 8 chezain batil kar deti hain: 1)khana aur Pina, 2)Jima (Intercourse) karna, 3)istemna (Hand practice) karna, 4)Allah, pegambar e akram S.A.W.W aur in k janashino sai ehtiyat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna, 5)Gubar halaq tak pounchana ehtiyat e wajib ki bina par, 6)Azan e subah tak janabat , haiz, ya nifas ki halat mai baqi rehna, 7)Kisi sayal (liquid) cheez sai huqna (anima) karna, 8)Ulti karna.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) [Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13925
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam..Qaza Roza tha galti se kuch khaya ha abhi roza batil ha hua ha ya nahi?

Answer: wsalam. Ghalti sai khaane sai roza baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1556). [Updated on 15-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14095
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mun Alykum Sawal yeh hai ki rozah mai musterbation kary or pata nah ho ki usper kaffarah lagai ga uska kiya hukum kaffarah dena zarori hai.

Answer: W/Salam. Istimna(Masturbation) (apne ikhtiyaar sai mani nikaalna) haraam or gunah e kabira mai sai hai hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, Part #1, Edition #2009, Maslah #30) Istimna(masturbation) roze ko batil(torne) kerne wali chizon men se hai lekin agar ap ko pata nahi tha k istmna se roza toot jata hai or ye baat poochhne men ya in masaail ko janne men apne susti or kotahi bhi nahi ki thi or aap istimna k bare men shak or pareshani men mubtila bhi nahi the (ke aya is se roza toot jata hai ya nahi), ya ap kisi sharaei hujjat par etemaad rakhte thay agr ye tamaam baaten aap k ander mojood hon to phir is surat men apka roza batil nahi hoga lekin is k baraks agar ap ko pata tha ya phir apne puchhne men susti ki ya apko is bare men shak tha k ye roze ko torh daiti hai ya nahi ya phir ap kisi sharaei hujjat per etemaad bhi nahin rakhte the to is soorat men ap ka roza batil hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #1553,1625). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!