Question: Urine leakage se roza tut jata hai
Answer: Rozay ko 8 chezain batil kar deti hain: 1. Khana aur Pina, 2. Jima(Intercourse) karna, 3. Istimna(Hand practice) karna, 4. Allah, pegambar e akram S.A.W.W aur in k janashino sai ehtiyat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna, 5. Gubar halaq tak pounchana ehtiyat e wajib ki bina par, 6. Azan e subah tak janabat , haiz ya nifas ki halat mai baqi rehna, 7. Kisi sayal(liquid) cheez sai huqna (anima) karna, 8. Ulti karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #1553). (Note Upar bayan ki 8 cheezon ke zarie se roza batil ho jata hai. baqi aap ne jis ka zikr kiya hai us se roza batil nahin hota ). [Updated on 16-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Roza ki halat main nahany k baad sarsun ka tail ya koi aur tail/oil lga skty hain? Aur isky ilawa Sarr main tail/oil lga sakty rooza ki halat main han ya ni?
Answer: sir par tail laganay sai roza baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1553). [Updated on 16-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya roze Mai private hisse Kai bal kat sakte hai
Answer: Ramazan main rozay ki halat main baal kaatna jaaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1553,1629). [Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya roze main photo ya selfie lene se gunah hota hain?
Answer: Jee nahin. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0385/page/2/). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal yeh hai ky mein aj sham 6 40 py wozo krny laga tou ik Qatra ghalti sy pani ka qoli karty waqat halq Mein utar gya jab ky mery sehar mein roza 6 46 py aftar hota tou kya mera roza batal ho gya hai ya nai.please answer.
Answer: Aap ka roza saheeh hai. Q keh Agar rozedar wuzu karte waqt kulli kare or pani bay ikhteyaar pait main chala jaey tu is ki qaza nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition 42, maslah #1556). [Updated on 19-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamualikum,kia rozy ki halat main sugar check karskty hain bilkil ek dout k barabar blood niklta hai jaiz hai?
Answer: hah karskte hay.(.Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.1553) [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya rozay ki halat main sar k baal katwa sakte hai or agr cut lagne se blood agaya tw roza toota hai? Ya makhru?
Answer: 1). rozay ki halat main sar k baal katwa sakte hay ,is se roza batil, nahe hota . or agr cut lagne se blood agaya tu roza nahe toota hai or na he roza makroh hota hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1553,1629). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya roze m husband wife sex krskte hai ? Or krlia ho toh ?
Answer: Roze ki halat main jima karne se roza batil ho jata hay. Agar koi shakhs ramzan k roze ko jima(hambistari) se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. 5) Ramzan ka roza torhne kay kaffare ke tor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla #1554,1630, 1632)[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar hum me roza rakha howa ha Aur hum doopehr ma so rahe hain or koi na munasib khawab dekh lete hain Matlab wet dream Tu kiya humara roza batil hoga?
Answer: Is se roza batil nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #344,1571). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Roze ki halat me Agar mard apne nafs ko biwi ki sharmgah me daalne k baad v mani kharij na ho to kya roza baqi rehta h
Answer: Jima(Hambistri) karne se roza batil ho jata hai, chahay uzu e tanasul supari tak hi dakhil ho or mani bhi kharij nah hoe ho. Agar koi shakhs ramzan k rozay ko jaan bojh ker jima aur janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab k jabar(zabardisti) aur nachari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to is par rozay ki qaza k ilawa kaffara bhi wajib ho ga. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1565,1630). [Updated on 20-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]