Question: Bv k sath sex kr k ghusal k bgair agr sehri kr ly to kya roza ho ga ya nahi
Answer: Azan e subah tak janabat ki halat mai baqi rehna rozay ko batil kar deta hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1553). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Neeend ki HAlat m Daanton Se Khoon Nikalker Halak Se Niche Utra Aur Khoon Thoonk Se Zyada Ya Barabar Tha Magar Iska Maza Halak May Mehsus Hua To Roza tutt geya?
Answer: Agar daanton ki reekhon say nikalnay wala khoon luab-e-dahan say makhloot hokar khatam ho jaey to is luab say parhaez laazim nahin hay. Agar Khoon luab-e-dahan say makhloot na ho to jab tak usay nigla nahin jaye ga Roza batil nahi hoga. Isi tarah agar be ikhtiyar halaq men chala jaye tab bhi Roza batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #97,1554). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Rozy ki halat main agr ehtalam ho jaye ya mani nikl jaye tw roza toot jata hai?
Answer: ehtilam (nightfall) hona roze ko batil nahin karta. [Updated on 18-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: During ramzan can we do masturbation at night or after iftaar....??? Plzz answer
Answer: Istimna(Masturbation) (apne ikhtiyaar sai mani nikaalna) haraam or gunah e kabira mai sai hai hay. Chahe ramzan ka mahina ho ya is ke elawa koi aur mahina ho. Aur ramzan men to khas tor par is se mana kiya gaya hai Q is roza batil(toot) ho jata hai aur kaffara bhi wajib ho jata hai. (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #2009, Maslah #30)Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) (ghuna karne wale ko allah se sacche tuba karne chaie). [Updated on 13-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia sehry napakae m karsakty hain r us k bad haiz sy pak ka wazu kar ley phr namaz fijr parhe tou kia es sy roza nhe hoga yah roza kaza karna hoga?
Answer: Aurat ke liye halat e haiz aur nifas me namaz parhna aur roza rakhna haram hai. Agar aurat ramzaan me fajar ki azaan se phele haiz ya nifaas se paak ho jaay to namaaz fajar ke waqt se phele ghusal haiz ya nifaas kar lena zaroori hai(or shere karna zarori nahe hay) aur agar wo ghusal karne me laparwaai kare ke namaaz fajar ke waqt tak ghusal na kare aur waqt kam hone ki surat me tayammum bhi na kare to zaroori hai is din ka roza pura kare aur qaza bhi kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,1614) (Note: Aap roza saheeh nahin hai ). [Updated on 13-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia thook nighlne c roza tut jata hai
Answer: Munh(mouth) ka pani(thook) nigalnay sai roza batil nahin hota hay chahae kisi wajha say bhi Munh mai aajae. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1560). [Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya rozy ki halat mai ladki sy baat kry to roza tot jata hai?
Answer: Na mehram sai baat karnay sai roza batil nahin hota. laikin na-mehram sai aam mamool ki baat cheet karnye me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, koi haraj nahin hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me parnay ka khof ho. Warna haram hai. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553). (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat, part #3, ques #115, pg #57). [Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia roze ki halat main phone pr larki say baat karny say roza toot jata haii ya ni?
Answer: Na mehram sai baat karnay sai roza batil nahin hota. laikin na-mehram sai aam mamool ki baat cheet karnye me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, koi haraj nahin hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me parnay ka khof ho. Warna haram hai. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553). (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat, part #3, ques #115, pg #57). [Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr rozay k doran kisi larki say fahesh baat krnay par mazi ya wadi k qatra ya qatray aa jain to kya roza batil ho jata?
Answer: 1). Roze ki halat men Agar nikalne wali ratubat mani hay or ikhtiyaar se nikli hay tu roza batil hay or agar ratubat mazi ya wadi hay tu is se roza batil nahi hota.Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or roza bhi batil nahe hota Biwi k alawa kisi doosray sai fehesh batain kerna haram hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156),(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kise ko bht zaroorat ho rozy mai dawai khany
Answer: roze main dawai khana roze ko batil kardeta he. [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]