Question: Kia mazi nikalny se roza toot jata ha
Answer: Mazi se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 13-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum mujhe yeh poochna hai mere haiz khtm hone k bad me pak ho gyi thy sehri k bad or so gyi 10 bje qarib meri ankh khuli to thora blood aara tha kya is halat me roza makruh ho jata hai ya dubara gusal kr sakte hain
Answer: 1) Haiz men roza nhin rakh sakte or ramzan k baad in rozon ki qaza kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). 2) Roze men haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche maghrib se ek lamhe (second) pehle hi aye, roza batil ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612)
Question: Rozay ki halat mai agr (periods) yani dag lge to kia rozay rahe ga ya tut jaye ga?
Answer: Roze main din k doran jab bhi haiz(periods) aa jaey chahay maghrib se chand minutes pehlay bhi tu roza batil ho jata hay. (Ref: Tauzeeh ul masael jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1435, Mafhoom e Maslah #1923). [Updated on 04-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mera swal ye hai k agar bnde ko ikhtilam ho jae aur sehri kartay waqt baghair ghusal k sehri kar k rozay me dakhil ho aur bad me ghusal karle to kiya roza rakh sakta hai
Answer: Agar junub shaks maah e ramzan main jaan bojh kar azan e subah tak ghusl nah kare ya jis shaks ka fariza tayammum ho or wo jaan boojh kar taymmum nah kare tu zarori hay keh is din ka roza poora kare or phir aik din or roza rakhe or choon keh ye taey nahi hay kkeh ye doosra roza qaza hhhay ya saza, lehaza maah e ramzan ka os din ka roza bhi maa fizzah ki niyat se rakhe or maah e ramzan k baad jis din roza rakhee or os main qaza ki niyat nah kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1531). [Updated on 29-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I was sleeping after Sehri when felt mouth full of bitter water. I woke up but swallow it as I was not fully awake . Did it affect my fast ?
Answer: Thookh peene se roza batil nahin hota. Aap k liay thook phaikna jaiz hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1560). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Din me roze ki halat me sex ho jye to aurat ka roza toot jayega
Answer: Jee han, roze ki halat men jima(intercourse) karne se roza batil ho jata hai. aur is ke elawa agar shohar roze ki halat me apni apni rozedar biwi se jima kare to agar is ne biwi ko majboor kiya ho to apne roze ka kafara aur ehteyat ki bina per zarori hai k apni biwi k roze ka bhi kafara day aur agar biwi jima per razi ho to har aik per aik aik kafara wajib ho jata hai. Agar koe aurat apne roze daar shohar ko jima karne per majboor kare to is per shohar k roze ka kafara wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1649,1650). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a sir Kia roze ki halat mein under shav Kar saktey hain.
Answer: Rozay ki halat main gair zaroori baalon ka kaatna jaaiz hai. albatta Daarhi mondna ya mundwaana(Shave kerna ya kerwana) tu aam dino main bhi ehtiyaat e wajib ki bina(base) per haram hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1553,2042). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal yeh ha k mtlb apka roza ha or ap sehri kr k so gye and koi ghatiya means galt khawab aya or ap wet ho gye roza toot jata ya ni? Halanke ap na soty howy us k bary sochen pr phir b agr esa ho
Answer: Agar rozedaar roza rakh kar so jaey or din main ehtilam ho jaey tu os ka roza batil nahin hota. lekin is par gusl e janabat (namaz aur is jesi ibadaton ke liye) wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1571). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya rozy ki halat mn nafs ko sehlany sy roza tot jata ha agarchy mani kharij na ho?
Answer: Agar roze daar mani nikaalne k irade k baghair chairh chaarh or hansi mazaq kare or isay itminaan ho k mani kharij nahi hogi to os ka roza sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1575,1576). [Updated on 03-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya rozy ki halat mn nafs ko sehlany sy roza tot jata ha agarchy mani kharij na ho?
Answer: Agar roze daar mani nikaalne k irade k baghair chairh chaarh or hansi mazaq kare or isay itminaan ho k mani kharij nahi hogi to os ka roza sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1575,1576). [Updated on 03-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]