Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14546
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: fajar ki azan kay darmiyan vomit ajay to roza hoga ya nai

Answer: Agar be ikhteyaar ulti(vomit) aajaye tu roza batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1618). [Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum. . .Agr isha k baad mani nikala jaye haath sai toh gusul sehri sai pehlay krna hai yaa baad mai . .

Answer: 1-Istimna(Masturbation) (apne ikhtiyaar sai mani nikaalna) haraam or gunah e kabira mai sai hai hay. Chahe ramzan ka mahina ho ya is ke elawa koi aur mahina ho.(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #2009, Maslah #30). 2-Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kar deta hai, zaroori hai k azan subh se pehly ghusl karey. or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zaroori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey. Is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1591,1630). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14572
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozay ki halat ma sex videos dekhay or mani b kharij na ho, kia hukumm h?

Answer: 1: Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k baghair ye kaam kare aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaey is ka roza sahi he. Albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaey ga. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani, Edition #42, Mafhoom e Maslah #1629,1576). 2: Ehtiyat e wajib ki bina per fahash filmon aur tasweeron ka dekhna haram he, agarchah shak aur lazzat k baghair dekha jaey. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani, Edition #5, Mafhoom e maslah #463, pg #254). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14580
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozy ki halat main jima krny k bary main kia hukm hai?

Answer: Agar roze daar ikhteyaar se jima kare tu os ka roza batil ho jata hay. or ramzan k baad is roze ki qaza or kaffara daina hoga. Or kaffara ye hay k 60 mukhtalif gharebb momineen ko pait bahr ker khana khilaen ya har aik ko 750 gram khana dain, ya 60 roze rakhain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1567,1632). [Updated on 05-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14581
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mare dost sa during Ramadan roze ki halat ma gar mahram larki ka pastan muh ma dale or usi wqt us na muh sa Nekal lye or wo farig b nh hua. Is ka kafara kia hai.??

Answer: 1: Na mehram k sath jinsi lams(bos-o-kinar) (begair intercourse k) zina nahi samjha jata hai laikin haram hai aur is se tauba karna lazim hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70) 2: Agar us ne mani nikalne ke Irade se is tarah ka kam kiya tha lekin mani na nikle to agar dobara roze ki niyat na ki ho to us ka roza batil hai aur agar dobara roze niyat kar li ho tab bhi Ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke us roze ko poora kare aur ramazan ke bad is ki qaza bhi kare. Aur agar us ka mani nikalne ka Irade nahin tha aur is tarah ka kam kiya tha to us ka roza sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1575,1576). [Updated on 05-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14584
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mubtilaa roza kya hae

Answer: Mubtilaat e Roza ( yani wo cheezen jo roze ko batil kar deti hain ) 8 hain: 1. Khana aur Pina, 2. Jima(Intercourse) karna, 3. Istimna(Hand practice) karna, 4. Allah, pegambar e akram(s,a,w,w) aur in k janashinon sai ehtiyat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna, 5. Gubar halaq tak pounchana ehtiyat e wajib ki bina par, 6. Azan e subah tak janabat, haiz ya nifas ki halat mai baqi rehna, 7. Kisi sayal(liquid) cheez sai huqna(anima) karna, 8. Ulti karna. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Editon #42, Maslah #1553). (Note: Upar bayan ki gayei 8 cheezon me se kisi aik ko bhi anjam de diya jaye to roza batil ho jata hai ). [Updated on 05-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14587
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mara swal ya ka roze ki halat ma na mahram ka pastan muh ma dalne sa roza toot jata hai.. or ya kbera gunahoo ma ata hai, kindly detail sa btaye

Answer: Is say roza batil nahi hota albatta Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya kiss karna haram or gunah e kabira hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553 , 2397). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14598
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya khoon ki ulti aany sy roza toot jata hai?

Answer: Jee nahin, Is se roza batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1618) [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14599
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA, agr roza ho 0r khwb me gandy chz nazar aye 0r subh uthne pr shawar ki ek jaga wet ho to gusal wajib ha 0r roza batil .agr wo nh sochta pr us k ikhtiyaar k bagr nikl 0r pata na ho ki Mani ha ya nh to Kia kry ?

Answer: Roze main khuwab aana roze ko batil nahin karta he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553).1) do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay 1. mani k kharij honay se 2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main). 2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356) 3) Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1. Uchal kar niklay. 2. shehwat k saath niklay 3. badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156) [Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14601
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr rozy ki halat main mani nklny ki niyat k bgher istimna kia jay to kia roza batil ho jata?

Answer: Agar rozedar mani nikalnay k iraday k baghair ye kaam kare aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaey is ka roza sahi he. Albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaey ga. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani, Edition #42, Mafhoom e Maslah #1629,1576). [Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!