Question: asalam.o.alikum mera ap sy sawal hai k ramzan mei agar mei biwi sy janabat karta hon aur ghusal nai karta bs wazu kar k roza rakh leta hon aur subha naha nai pata tau kia mera roza ho ga ya makroh ho ga plz answer me shukriya
Answer: Jo shakhs ramzan ki raat mai junub ho jae to zaroori hai k fajar k waqt sai pehlay ghusl karay. Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Rozay ki hallat mien kia mian bivi mani kharaj krnay ki neat k beghair jima(intercourse) kr saktay hain ?
Answer: Jima rozay ko batil kar deta hai chahae mani bhi kharij na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: biwi k sath roze ki halat mai hmbistri ho jae to roza toot jata hai ya nahi
Answer: 1)Mubasharat (intercourse)roze ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima karnay ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar roze ki halat me ho aur sote waqt apne aap mani nikal jae toh kya roza toot jata hain
Answer: Agar rozay ki halat me ehtalam(neend mai mani ka kharij hona) ho jaye tu roza batil nahe hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam..mera sawal ye hai k mien ramzan may apny husband se intercourse sakti ho ya nahi????
Answer: Jima rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: main ye jana chahta ho k agr mai apni friend k sth bat kr rahat ho or as duran tnawo aa jae or madh behna shoro ho jae or hum dono roze ki halat mai ho tu kia roza makhro ho jae ga döno ka
Answer: 1) Agar rozay daar mani nikalnay k iraday k baghair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose itminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 2)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dobara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dobara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1575-6) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya ramadan me apne bewi ke saath intercourse karna jaiz hai . Or agar koi karta hai to kitna gunah hai .
Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker biwi sai intercourse ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Ramzan me apni bivi ke sath hambistari kar sakta ya nahi
Answer: Mubasharat (intercourse)roze ko batil kar de te hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: rozay ki halat me mnni nikalna aur Allah se toba kar k aglay din phir wohi gunha plz quran ki roshni me meri ishla kijye , Allah apko khush rkhay
Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker istemna ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam.u.alaikum. Mera sawal ye hy k roza k doran agar music suna ja.ey ya lrkio ki tasveeray daiki jaey jis my wo neem barhana ho tau is sy roza par kya fark paray ga?
Answer: 1) Ginna haram hai, Is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhoos ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) 2)Ethiat e wajib k toor per fahash tasweeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) 3)Ginna aur fahash tasweero ko dekhnay sai roza batil nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).