Question: rozay ki halat mien agur husband wife aik doosray k itnay close ho jayien k biwi bagher sex kiye discharge ho jaye to kia roza khatum ho jaye ga? Doosra rozay mien aap blood test ketva saktay hain?
Answer: 1) Agar rozy daar mani nikalny k irady k baghair apni biwi se cherh charh or hansi mazaaq kary or usay itmenaan ho k mani kharij nahi hogi to agarchey ittefaqan mani kharij ho jaay , us ka roza sahi hai . albatta agar usy itmenaan nah ho to is sorat main jab mani kharij hogi to os ka roza batil ho jay ga . 2) Agar khoon dena kamzori ka sabab bany to ye makroo hai warna makhrooh bhi nahi hay . (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1576,1629 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia sar pr oiling krney sey roza toot jata hai?
Answer: Jee nahi rozay ki halat main sar ya badan per Oil laganay se roza batil nahi hota. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agr jan bhooj kr koi mani kharaj kre to roza tot jata hai?
Answer: Jee han istemna krnay sai roza batil ho jata hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamu akelum, mera sawaal ye hai ki ramzan me aur roze ki halaath me bure (sex) khayal aye tho kya biwi se bistar kat sakthe hai ya nahi.
Answer: Rozey ki halat shohar main bevi se jaan boojh ker humbistri kerna rozey ko batil kar deta hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A/S kia ehtalam hone k bad sari mani kharij na ho or nali me pans jae us ko nikalne se roza tot jata ha ya ni mani ko nikalne k liye nali ko kpry se ragra tha please is ka jawab de dain shukria
Answer: Jab rozey daar ko ehtelam hojay , agar osey maloom ho k mani nali main reh gae hai or agar ghusal se phely peshab nahi karey ga tu ghusal k baad mani os k jism se kharij hogi tu ehtiyat e mustahab ye hai k ghusl se phely peshab karey , or aap ka roza batil nahi hoga . (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1574 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ager ramzan main sonay k bah ihtalam ho jae to kia banda subah gusal k begair roza rakh skta hai ya nahi.. or ager kisi ne rakh lia to kia us ka roza ho ga ya nhi
Answer: Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai , zarori hai k azan sobha se phely ghusal karey . or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhey or ramzan k bad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: roje ke halat me apne bivi ka pitan dabane se roja toot sakta hai
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Roza nahi toot (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553 )
Question: apne bivi ka pistaan dabane roja toot jata hai
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Is amal se roza nahi toot jata. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar kisi insan apni bibi se sohabat kare or sahari ke waqt sahari kare or maa or baap ke lehaz karke subho 10am ya 12pm ko ghosal kare uska roza mukamal hoga?
Answer: Agar junub shaks ramzan main jaan bojh ker azaan subah tak ghusl nah karay tu zarori hai k os din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or choon keh ye tay nahi hay k ye dosra roza qaza hai ya sazah , layhaza ramzan ka os din ka roza bhi maa-fiz-zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar kisi aadmi par ghusul waajib ho,toh kya wo ramzaan ka roza rakh sakthaa hai
Answer: Agar Junub shakhs ramzan me jaan boojh kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan boojh kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1591 ).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)