Question: mai apne ghar banwana chahta tha or mere paas haram maal hy kya mai us haram maal ko ghar banwane me gla sakkta hu, ya ha haram maal ko sahi me kaise tabdeel kiya jata hy batayen
Answer: Agar halal maal haram se mil(mix) jaay or insan ko haram ki miqdar(quantity) ka ilm nah ho laikin is maal k malik ko pehcahaanta ho or dono aik dosray ko raazi nah ker sakain tu zarori hay k jitni miqdaar k baray main yaqeen ho k doosray ka maal hay wo osay day day. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1785). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: KHUMS GHAR ME KIN -KIN CHIJO PAR WAJIB HAI TAFSIR SE BTAAE,
Answer: 1)Jo samaan kise shak ne saal bhar istemaal karne k lye apne munafay se khareeda ho agar saal k aakhir me us me se khuch bach jaay to zaroori hai k us ka khums de aur agar khum us ki qimat ki surat me dena chahay to jab wo samaan khareeda tha us ki qimat ziada ho gae ho to zaroori hai k saal k baad jo qimat ho us k hisab sai khums dai. 2)koi shak khums dainay se phele apne munafay me se ghar k istemal k lye samaan khareede agar is ki zaroorat munafa hasil hone wale saal k baad khatam ho jay to zaroori nahi hai k is ka khums dai aur agar doran-e-saal is ki zaroorat khatam ho jay laikin wo samaan un cheezo me se ho jo umooman aainda saalo me istemaal k lye rakhe jate ho jise sardi aur garmi k kapre to is per khums nahi hota. is surat k ilawa durain saal agar is samaan ki zarorat khatam ho jaay to ehtiyat-e-wajib ye hai k is ka khums de.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1750-51)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asalam alikum. me khums ke hawale se sawal karna chati ho.mere pas gifts hai. jis ko 2 sal hogae h. or mene is par khums nai nekala he.ab is par khums kese nekalo?
Answer: Agar gift saal k durain akhrajat me istemal na ho to phir is par khums wajib ho ga.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 97,pg # 56) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamu alaikum.can i pay ur madrassa sehme sadaat.do u have the authority from ayatullah seestani to receive sehme sadaat
Answer: Yes : Madrasa quran o Itrat Academy contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. For more detail about payment http://www.qoitrat.org/payments.asp . address: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: a.o.a,,,sir Kazimeen mai hamary kon 2 imam dafan hai....???? or 2 sawal ye hai k Khums wajib honey k bad Foran nikalna zaroori hai k ni...???? plz ans..............
Answer: Wssalam o alykum, 7th Imaam Musa Al-Kazim (a.s) or 9th Imaam Muhammad Taqi (a.s) ka madfan e Mubarak kazmain main hai. Or ager kums wajib ho jaae to foran nikaalna wajib hai(Ref : 14 Sitaree , muallif # syed najam al-hasan , pg #28) , (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 111 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Mera sawal ye hai k agar meri khums ki date par jo bachat ko saal ho jae us par to khums wajib hai magar lekin agar due date se chand month pehle agar kuch raqm jama hui ho jisey ek saal ka arsa nahi hua to kia is izafi raqm par bhi khums lagey ga?
Answer: Jee han in paiso par khums lagay ga chahy ye paisay aap ko khums ki date sai aik din pehlay bhi milay ho to bhi khums lagay ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 93,pg # 48)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam My question is related to Khums. if some one had not selected the start date for the khums as he was not sure that his earnings will be saved at the end of year, so how will he calculate the khums ?
Answer: Agar aap nai abhi tak khums nahi nikala hai aur chahtay hain k aik date fix karain to aap Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot sai vakeel maujood hain, un sai rabta karain. jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain. aur Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain. or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). address: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamualikum. In the non Islamic country there are some organizations which collects zakat and like that in Baitul maal to donate amongst poor. My question is in non Islamic country is it right. Please reply in english.
Answer: If the Organization has the permission to take Zakaat and Khums by the mujtahid/mufti(Islamic jurist) so it can be given the zakaat and khums.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1889 , 1816 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: kiya bonus per khums niklta hy?
Answer: Saal k doran jis waqt bhi kisi shakhs ko munafa milay os munafay par khums nikalna wajib hai jo saal k doran istemal na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1736)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: can i change my khumas date
Answer: Khums ki date ko change karnay k lie aap ya to apni purani date ko khums nikal dain phir jab sai aap ko koi amdani hasil ho gi wo aap ki new date ho jae gi ya aap koi khas date fix karna chahtay hain to aap os din apna sara hisab kar lain aur khums nikal dain to wo aap ki khums ki new date fix ho jae gi. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 84, pg # 52)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).