Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3806
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wo kon se paigamber thay jo allah k hokum se apni biwi aur bachay ko sehra mai chor gai the

Answer: Hazrat Ibrahim (a.s) (ref. surah Ibrahim no:14,ayat no :37, terjuma quran allama zeeshan haider , pg no: 552) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3863
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salamu alaikum quraan me o konsi aayet hai jis me phe nahi hai

Answer: Arabi zaban k kul 28 haroof hain. Aur arabi zaban mai urdu k haroof mai sai 8 haroof kam hain jis mai sai aik "" hai. (Ref : Kitab nazra tilawat k qawaid pg # 9) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3886
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 786 MASJIDE ZARER KOUN SI MASJID HY ? AUR QURAN ME KIS SURA AUR AYAT ME ISKA ZIKR HY ?

Answer: 1)Masjid e zerar ka tazkira Surah tuba surah #9 para #11 ayat #107 mai hua hai. 2)Ya masjid zerar(musalmano ko nuqsan pouchne k lye) musjid quba k qareeb munafiqeen k qile k tore per temeer hoi thi aur loqo ne pegambar e islam (s.w.a) se is ka ifteta karana chaha tha to qudrat ne is k inhedam(barbad) karne ka hukam diya . wazeh rahay k masjid e zerar ka jala dena aur kura ghar bana dena masjid k ehtram k manafi nahi hai bal k is baat ka elan hai k ye emarat masjid nahi hai aur har masjid ki shakal ka nam masjid ho skhta hai. (ref.allama zeeshan haider jawadi k quran ka tarjuma pg# 440, Surah tuba #9 para #11 ayat #107 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3939
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1.wajab sajday in quran 2.musthab sajday in quran 3. wajab surah ka name 4. Ayat ka Name

Answer: Quran majeed mai 15 ayatain aisi hain jin k parhnay ya sunnay k baad khuda ki azmat k samnay sajdah karna chahaea in mai sai 4 maqamaat par sajdah wajib aur 11 maqamaat par sajdah mustahabb hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fussilat(ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najam surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah elaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat) Quran majeed k mustahabb sajday: (1)Surah aaraf surah # 7 para # 9 ayat # 206(last ayat) (2)Surah raed surah # 13 para # 13 ayat # 15 (3)Surah nahal surah # 16 para # 14 ayat # 50 (4)Surah ban e israieel surah # 17 para # 15 ayat # 109 (5)Surah marium surah # 19 para # 16 ayat # 58 (6)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 18 (7)Surah haj surah # 23 para # 17 ayat # 77 (8)Surah furqan surah # 25 para # 19 ayat # 60 (9 Surah namal surah # 27 para # 19 ayat # 26 (10)Surah Suaad surah # 38 para # 23 ayat # 24 (11)Surah insheqaq surah # 84 para # 30 ayat # 21. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istilahaat)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4173
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ayat ul kursi 3 aayat par mustamil hai ya aik par?

Answer: Ayatul kursi perhtay waqt ehtiyat ye hai k ise “ ھم فیھا خالدون ” tak perha jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 197, pg # 93) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4221
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran Majeed ki jin aayat ko hifz kia Ja chuka ho kia inhain janboojh kr ya majboori k aalam mai bhula dena jaiz hai?

Answer: Jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 197, pg # 83)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4250
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam plz tell me Wht da meaning of tahiyah?its Quranic word? My daughter name is tahiyah batool Urdu may.kis taraha likhay gay tahiyah ko

Answer: Tahiyah(ﺍﻠﺘﱠﺤﯿﱠﺔ ) quran majeed mai 3 maqamaat mai akila istemal hua hai aur 3 maqamat par zameer(hum jo k pronoun hai) k sath istemal hua hai. jin 3 jigha par akila istemal hua hai os mai sai aik surah nissa, surah no 4 ki ayat no 86 mai zikr hua hai is k alawa surah noor, surah no 24 ki ayat no 61 mai bhi istemal hua hai aur surah furqan, surah no 25 ki ayat no 75 mai istemal hua hai. aur jahan par zameer k sath istemal hua hai un mai sai aik surah younus, surah no 10 ki ayat no 10 mai istemal hua hai aur surah Ibrahim, surah no 14 ki ayat no 23 aur aakhri mai surah ahzaab, surah no 33 ki ayat no 44 mai hua hai.(Ref : al mojum pg # 286) Aur tahiyat ka matlab salam aur salami hai aur is ki jama tahiyaat( ﺘﺤﯿﱠﺎﺖ ) hai jaisay ﺍﻠﺘﱠﺤﯿﱠﺔﺍﻠﻌﺴﻜﺮﻰ yani fouj ki salami.(Ref :al qamoos waheed pg no 401) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4268
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam main quran ko tarjume or atfseer k sath samjhna chati hun meri mali halat aisi nahi k main koi uni join kron to mujhe kya karna chaiye

Answer: Ap is k liye internet pr Misbahulqurantrust.com site per qurani malomat hasil karsakte.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4348
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam-o-alaikum.. mera sawal ye ha k kia coft copy main QURAN MAJID parhnay k lie wazoo ki zarorat ha ? yani computer main PDF ya WORLD kay format main QURAN MAJID parhnay k lie wazoo ki zaorarat ha ?

Answer: Baaz mujtahideen k nazdeeq quran majeed parhnay k lie wazoo krna mustahabb hai laikin ayatollah sistani d.b. k nazdeeq is ka mustahabb hona sabit nhi hai albetta agar koi shakhs mustahabb honay k ehtimal k sath wazoo karay to is ka wazoo sahi hai aur is wazoo k sath wo shakhs har wo kaam kar sakta hai jo ba-wazoo ho kar krna zaroori hai maslan is wazoo k sath namaz parh sakta hai. laikin mustahabb hai k agar insan ba-wazoo ho tab bhi har namaz k lie dobara wazoo karay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 321)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4441
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia hum quran pak parh kar bakhsh saktay hain apnay piyaro ko ???or nahi bkhsh saktay to kio nahi bksh saktay????

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Jee haan baksh sakaty hain Q k Esaal e sawaab dar haqi’qat khuda ki baargaah me is baat ki aarzoo karna he k jo sawaab k tayhait wo(allah) ata kar reha he osay us k badle kisi aur ko ata kar de. Is etibaar se ye bhi aam duaoon ki tarah aik dua he jo k jaiz he. Is k lie kisi khaas naiki ki zarorat nahi he,balkeh pichlay amaal k hawalay say bhi esaal e sawaab kia jasakta hay. ( Ref: mujtahid se pochey gay sawalat , part # 1 , ques # 199 , pg # 94). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!