Question: marne ke murde par quran pardh ke bhejne ka sawab murde par pohachta hai
Answer: Iesaal e sawab dar haqiqat khuda ki bargaah me is baat ki arzoo karna he k jo sawab, lutf o marhamat k tehet wo ata kar raha he osay os k badlay kisi aur ko ata ata kar day.Is aytebaar se ye bhi aam duaoon ki terah aik dua he jo k jaiz he. Is k lie kisi khaas nayki ki shart nahi balke pechlay amaal k hawalay se bhi iesaal e sawab kia ja sakhta he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 199, pg # 94) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam,me agar safar me hu aur mere mobile me majlis nauhe aur quran dwonld he,in pak chiz ko kia me paikhana me le ja sakta hu ,safar me akela hu aur kisi pe yakeen nahi k usko mobile de kar jau
Answer: Jis mobile main majlis ya quran ho, os ko baitul khala( toilet) main lay jana jaiz hay.(Ref: email rcvd dated:04-08-2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: 14 sajdoun ki ayat nom our para ka nam
Answer: Quran pak men 15 ayaten aysi hen jin k parhne ya sunne k bad ALLAH ta`ala ki azmat k samne sajda karna chahiye , un men se 4 maqamat per sajda wajib hai or 11 maqamat pr sajda mustahab hai, Wajib sajde 4 ye hen, 1). Parah 21 soorah sajda ayat#15 2). Parah 24 soorah Haa-meem sajda ayat#37 3). Parah 27 soorah w-Al-najam last ayat#62 4). Parah 30 soorah Alaq last ayat #19 (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, fiqhi istalahat page#491)
Question: quran pak ki aakhri aayat konsi nazal hue thi woh aayt bta dijye plz
Answer: Sab se aakhir main naazil honay wali ayat Surat Al-Maidah ki ayat # 3 hay jo khilafat e Hazrat Ali(a.s) k baray man hay.(Ref:Qurani malomaat per mushtamil 1540 sawlaat k jawab, pg#78, sawaal# 426). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya late kar quran pak sun sakte hain
Answer: Sun sakte hain, lekin Quraan e Majeed ke hokum ke mutabiq halat e kamoshi main goor se sunna chahiye.(Ref : Quraan e Majeed , ayat # 204 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: quran pak ki wo kon si ayat hy jo sabsy akhir main nazil hoe
Answer: Sab se aakhir main naazil honay wali ayat Surat Al-Maidah ki ayat # 3 hay jo khilafat e Hazrat Ali(a.s) k baray man hay.(Ref:Qurani malomaat per mushtamil 1540 sawlaat k jawab, pg#78, sawaal# 426). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mera Swaal yeh hai k quran pak ki wo konsi ayat hai jis main insanu aur jinnu ko ALLAH PAK ne apni makhlooq kaha hai. please answer mje mere mail kar dijiye ga.
Answer: Surah zaariyaat surah no. 51 , ayat no .56 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya quran padhne k liye sar dhanpna zrori hai
Answer: Aurat ka quran parhnay k lie sar ko dhanpna zaroori nahi hai. (Ref : email rec from ayatollah sistani d.b. dated : July 12, 2012) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: haroof e mo’qat’te’aat likh kr bagain please
Answer: حروف مقطعات نو ہیں جو یہ ہیں: الم { سورہ البقرہ} ، الم { سورہ الروم} ، الم { سورہ آل عمران} ، الم { سورہ لقمان}، المص { سورہ الاعراف}، الم{ سورہ السجدہ} ، الر { سورہ یونس}، یس{ سورہ يس}، الر{ سورہ ہود}، ص{ سورہ ص}، الر { سورہ یوسف} ، حم { سورہ غافر}، المر{ سورہ الرعد }، حم { سورہ فصلت}، الر{ سورہ ابراہیم}، حم عسق { سورہ الشوری}، الر{ سورہ حجر}، حم { سورہ الزخرف} ، كهيعص { سورہ مریم} ، حم { سورہ الدخان} ، طٰہٰ-{ سورہ طه}، حم{ سورہ الجاثیہ} ، طسم { سورہ الشعراء} ، حم{ سورہ الاحقاف} ، طس{ سورہ النمل} ، ق{ سورہ ق}، طسم{ سورہ القصص} ، ن{ سورہ القلم} ، الم { سورہ العنکبوت}۔ Quran e majeed k total 114 suray may 29 suray aisay alfaz say shoroo hotay hain jin k har harf ko alag alag kar k is k arabi huroof e tehejji k naam k sath parhna zarori hai isi liye in ko haroof e muqatiaat kehtay hain. Misaal k taur per: یس jo parha jae ga سین یا Note : Quran kareem k haroof e muqatiaat mai takrrar(repeatition) ko chor kar kul 14 horoof istemal huay hain jinhain is jumlay mai jama kia gya hai (صراط علی حق نمسکہ ) yani hazrat Ali a.s. ka rasta huq hai hum isi par kaarband hain. (Ref : kitab nazra tilawat k qawaid pg # 11). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: lafze shia quran me kis surah me aya hai?
Answer: 1)Surah saaffaat surah no. 37 ayat no .83. 2)surah e qasas mai 2 martaba aya hai. surah no. 28 ayat no .15. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)