Question: I got talaq 8 years back, I have 2 children's and no body married me still.. now my old husband wants to do nikah wth me again for the sake of my children and me. Is it possible to do nikah wth him again directly?? Plz reply
Answer: NULL
Question: Agar larka larki zabani ek dusra ko qubool karien tw nikkah ho jata ha apna Doston ko gawa bana kar
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Is tarah nikah nahin hota, balke agar nikah me darj zel saari ki saari sharaait payei jayen to nikah sahi hota hai warna hain. 1. Nikah mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtiyaat-e-waajib par kaafi nahin hai. Nikaah ka seeghaa ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel ko muqarrar kar lete hain taakeh wo un ki taraf se parh day. 2. Ehtiyaat-e-waajib ki bina par nikaah ka seegha arabi mein parha jaaye aur agar khud mard aur aurat seegha arabi mein na parh sakte hon to arabi ke alawa kisi dusri zabaan mein parh sakte hain aur kisi shakhs ko wakeel banana laazim nahin hai. Albatta unhein chahiye keh woh alfaaz kahen jo “zawwajto” aur “qabilto” ka mafhoom ada kar saken. 3. Mard aur aurat jo keh seegha parh rahe hon woh “qasd e insha’” rakhte hon yani agar khud mard aur aurat seegha parh rahe hon to aurat ka “zawwajatoka nafsi” kehna is niyyat se ho keh khud ko us ki biwi qarar de aur mard ka “qabiltut tazweeja” kehna is niyyat se ho keh woh us ka apni biwi banna qabool kare. 4. Jo shakhs seegha parh raha ho zaroori hai ke woh aaqil ho aur agar apne liye parh raha ho to baaligh hona bhi zaroori hai. Balkeh ehtiyaat-e-waajib ki bina par na-baaliigh mummayez bache ka dusre ka nikah parhna kaafi nahin hai. Aur agar parh day to talaaq dena zaroori hai ya dobarah nikaah parhen. 5. Aurat aur mard nikah par raazi hon. Han! Agar bazaahir na-pasandgi ka izhaar karen aur maloom ho ke dil se raazi hain to nikah sahi hai. 6. Wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ladki shadi nikah k baad bhi muta kar sakti hai?
Answer: Agar aik aurat pehle se hi kisi mard ke nikah me (yani shadi shuda) ho to jab tak wo nikah me mojood hai kisi dusre shakhs se nikah (daaimi ya mutah) karna haram hai. lekin agar us ka shohar us ko talaq de de to iddat guzarne ke baad wo aurat kisi dusre mard se nikah kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366). [Updated on 18-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ek lrka or lrki bina parents ji permission KY bgair, apny male 2 dosto ko gawah bnaty hue nikkah krlein or nikah lrka khud prhy to nikkah hojata h?
Answer:
Question: Ager 2 loog riza mandi se sex kere kia ya zinaa ma atha hai
Answer:
Question: Ager 2 loog serf ya kahe ka qabool hai thu kia nikah ho jaye gaa
Answer:
Question: SIR KYA BHANJA APNI MAMI SE NIKAH KAR SAKTA HAI YADI USKA MAMA MAANSHIK MARIJ HO AUR USKA BHAGNA SARA ZIMMEDARI APNE UPAR LE LE . AUR IN DONO KA NIKAH KYA BEGAIR GAWAH K NIKAAH HO SAKTE HAI KYA KYONKI KOI KOI BHI GAWAH NHI BANNA CHAHTA HAI. PLEASE BTAYE
Answer:
Question: اگر ایک عورت سے نکاح متعہ کیا ہو بعد میں نکاح دائمی اسی عورت سے کرنا ہو تو متعہ کی عدت پوری ہونے کے بعد اس عورت سے نکاح دائمی ہوگا
Answer:
Question: Talaq e rajii kay bad iddat main agr biwi tak rasayi na ho to mobile pay bat ho jaye to raju sabit ho jata hai or hamara bat akhri dafa iddat main huii thi ab is bat ko 5 month hogay hain kia raju kay liye kafi hai
Answer:
Question: Kya bv ki bhanji se shaadi ho sakti hai
Answer: