Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 18099
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr shaadi k baad mubasharat na hui ho or talaq hojaye tou kiya hukum hai larki ki iddat ka or agr iddat nhi tou woh shohar se dobara ruju kre gyi ya nikkah dobara hoga

Answer: NULL

Id: 18102
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar nikah me gawah na ho to kia nikah hosakta hain

Answer: NULL

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 18139
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum Kiya Mai apna taya(father's elder brother) ka beta(son) ka beti(daughter) se shadi kar sakta houn.

Answer: NULL

Id: 18142
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar insan insan ke sath jina kar le to kya insan ka nikah toot jata hai

Answer: NULL

Id: 18413
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Umrah k duran nikkah k bary ma btay means k koi merd ya orat umrah kerny Jay or un ka waha nikkah ho Jay?

Answer: NULL

Id: 18462
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia wali or nekah nama k bghr nikah hojata ha agr lrki ka baap b na ho or dada b na ho or na he koi saga Bhai Gawahan ki mujudgi ma or haqmahar k b

Answer: NULL

Id: 18907
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Agr koi Shaksa Pokhta yaqeen rkhta ho usi lrki se shadi krni h tu kia usko halkla touch krskta yqaeen ho ussi se hogi kch hal btadne aesa nikkah me time h 1 sale Sbar Mushkil hora h

Answer: 1: Nikah se pehlay larka aur larki apas me na-mehram hain aur nikah ke bager na-mehram aurat ke balon ko dekhna, aur mard or aurat ka aik dusre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya us ka bosa(kiss) laina ya gale lagana ye tamam kaam Haram aur ghunah e kabira me se hain, chahe lazzat ke iraday ke sath hon ya is ke baghair aur chahe baad me shadi hi Q nah karni ho. 2: Isi tarah nikah se pehlay aam mamool ki baat cheet karna jis ke andar koi shehwat angez guftagu nah ho, koi haraj nahin hai lekin is me bhi shart hai ke is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi Haram me parhne ka khauf ho. warna jaiz nahin. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397. + Mujtahid se poochy gaye sawalaat, part #3, sawal #115,116, pg #57). [Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19052
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri mangni cousin se huwi huwi Hai, hum kis hadd tak mobile pr chat kr sakte Hain?

Answer: 1: Mangni karne se larka or larki miyan, biwi nahin ban jate jab tak ke nikah na kiya jaye or mangani ki koi sharaei hesiyat nahin hai. lehaza mangetar apas me na-mehram hain aur nikah ke bager na-mehram aurat ke balon ko dekhna, aur mard or aurat ka aik dusre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya us ka bosa(kiss) laina ya gale lagana ye tamam kaam bhi Haram aur ghunah e kabira me se hain, chahe lazzat ke iraday ke sath hon ya is ke baghair aur chahe baad me shadi hi Q nah karni ho. 2: Isi tarah Mangni ke baad aam mamool ki baat cheet karna jis ke andar koi shehwat angez guftagu nah ho, koi haraj nahin hai lekin is me bhi shart hai ke is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur nah hi Haram me parhne ka khauf ho. warna jaiz nahin. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397. + Mujtahid se poochy gaye sawalaat, part #3, sawal #115,116, pg #57). [Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19055
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کيا چاچي اور مامي کے ساتھ شادی جائز ہے؟

Answer: Agar chahi aap ke chacha ke nikah me nahin hai aur us ki iddat me bhi nahin hai, Isi tarah mumani aap ke maamu ke nikah me nahin hai aur us ki iddat me bhi nahin hai to us se shadi karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349). [Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19134
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum mera yeh sawal hai ki ladki ke nikaah mein khalu ya fufa ki gavahi ho sakti kya meherbani jawab de main muntazir hun Salam walekum

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Nikah main gawah ka hona zaroori nahin hai. balke gawahon ke bager bhi nikah sahi ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 02-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!