Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 19160
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alykum kya ek larki bayak waq 1 se zyada mardoon se mutta kr sakt hy (ayt ulla Ali khaminai)

Answer: shia fuqaha k mutabiq Nikah (chahe daaimi ho ya mutah) ke baad aurat jab tak us mard ke nikah (daaimi ya mutah) me hai us ke liye kisi dusre mard se nikah karna Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, maraje, jild#2 maslah #2402). [Updated on 11-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19226
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslam o alaikum sir, please wazahat ki jeyega k, apne cousin (Male) ki beti se shadi ki ja sakti hai ya nahi?

Answer: Chach zad, phophi zad, mamu zad, aur khala zad ye sab na-mehram hain aur in ki aulaad bhi na-meharm hoti hai aur na-meharm hoti se hi nikah karna hota hai, lehaz apne cousin (male) ki beti se shadi kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349). [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 19261
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir agr boy or girl gunah se bchne kliy nikah krle surf Allah ko gwa bna kr ..to kya ye huva hy..plxx reply

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Is tarah nikah nahin hota, balke agar nikah me darj zel saari ki saari sharaait payei jayen to nikah sahi hota hai warna hain. 1. Nikah mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtiyaat-e-waajib par kaafi nahin hai. Nikaah ka seeghaa ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel ko muqarrar kar lete hain taakeh wo un ki taraf se parh day. 2. Ehtiyaat-e-waajib ki bina par nikaah ka seegha arabi mein parha jaaye aur agar khud mard aur aurat seegha arabi mein na parh sakte hon to arabi ke alawa kisi dusri zabaan mein parh sakte hain aur kisi shakhs ko wakeel banana laazim nahin hai. Albatta unhein chahiye keh woh alfaaz kahen jo “zawwajto” aur “qabilto” ka mafhoom ada kar saken. 3. Mard aur aurat jo keh seegha parh rahe hon woh “qasd e insha’” rakhte hon yani agar khud mard aur aurat seegha parh rahe hon to aurat ka “zawwajatoka nafsi” kehna is niyyat se ho keh khud ko us ki biwi qarar de aur mard ka “qabiltut tazweeja” kehna is niyyat se ho keh woh us ka apni biwi banna qabool kare. 4. Jo shakhs seegha parh raha ho zaroori hai ke woh aaqil ho aur agar apne liye parh raha ho to baaligh hona bhi zaroori hai. Balkeh ehtiyaat-e-waajib ki bina par na-baaliigh mummayez bache ka dusre ka nikah parhna kaafi nahin hai. Aur agar parh day to talaaq dena zaroori hai ya dobarah nikaah parhen. 5. Aurat aur mard nikah par raazi hon. Han! Agar bazaahir na-pasandgi ka izhaar karen aur maloom ho ke dil se raazi hain to nikah sahi hai. 6. Wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19270
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AssalamOAlikum My 1 Married Women sy pyar krta hu uski age 24 hy or meri 26 usky 2 bache hy me us sy nikah karna chata hu or vo pehely sy apne husband ky sath nikah me hy kya asa hoskta hy vo muj sy bhi nikah karskti hy ?

Answer: 1: Shadi shuda aurat se nikah karna Haram hai, lekin agar us ka shohar us ko talaq de de to iddat guzarne ke baad wo aurat kisi doosre mard se nikah kar sakti hai. 2: Agar koi aadmi kisi aurat ko warghalaye ke wo apne shohor se mutalliq izdawaji zimmedariyaan poori nah kare taake is tarah shohor use talaq daine par majboor ho jaaye aur wo khud us aurat ke saath shadi kar sake to talaq aur nikah to sahi hain. Lekin dono ne buhut barha ghunah kiya hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2366,2502). [Updated on 20-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19278
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.sotaili maa ke beta r beti se nikha jaiz ha?

Answer: Agar beta aur beti dono ki maan aik hai ya dono ka baap aik hai to beta aur beti dono apas me shadi nahin kar sakte. (Ref: Minhajus Saliheen, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #1443, part #3, maslah #90). [Updated on 20-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19282
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر اکیلے میں لڑکا اور لڑکی نے شادی کے لیے تین بار قبول ہے، قبول ہے کیا ہو تو کیا شادی ہو جاتی ہے

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Is tarah nikah nahin hota, balke agar nikah me darj zel saari ki saari sharaait payei jayen to nikah sahi hota hai warna hain. 1. Nikah mein seegha (nikaah ke bol) parhna zaroori hai. Aurat aur mard ka sirf razamand hona aur isi tarah (nikaah nama) likhna ehtiyaat-e-waajib par kaafi nahin hai. Nikaah ka seeghaa ya to aurat aur mard khud parhte hain ya kisi wakeel ko muqarrar kar lete hain taakeh wo un ki taraf se parh day. 2. Ehtiyaat-e-waajib ki bina par nikaah ka seegha arabi mein parha jaaye aur agar khud mard aur aurat seegha arabi mein na parh sakte hon to arabi ke alawa kisi dusri zabaan mein parh sakte hain aur kisi shakhs ko wakeel banana laazim nahin hai. Albatta unhein chahiye keh woh alfaaz kahen jo “zawwajto” aur “qabilto” ka mafhoom ada kar saken. 3. Mard aur aurat jo keh seegha parh rahe hon woh “qasd e insha’” rakhte hon yani agar khud mard aur aurat seegha parh rahe hon to aurat ka “zawwajatoka nafsi” kehna is niyyat se ho keh khud ko us ki biwi qarar de aur mard ka “qabiltut tazweeja” kehna is niyyat se ho keh woh us ka apni biwi banna qabool kare. 4. Jo shakhs seegha parh raha ho zaroori hai ke woh aaqil ho aur agar apne liye parh raha ho to baaligh hona bhi zaroori hai. Balkeh ehtiyaat-e-waajib ki bina par na-baaliigh mummayez bache ka dusre ka nikah parhna kaafi nahin hai. Aur agar parh day to talaaq dena zaroori hai ya dobarah nikaah parhen. 5. Aurat aur mard nikah par raazi hon. Han! Agar bazaahir na-pasandgi ka izhaar karen aur maloom ho ke dil se raazi hain to nikah sahi hai. 6. Wo kunwari larki jo baaligh ho lekin khud mukhtaar nah ho to nikah ke liye us ko apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai aur agar larki khud mukhtaar ho tab bhi nikah ke liye apne wali (baap ya dada) se ijazat lena ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. yani kunwari larki apne wali (baap ya dada) se ijazat liye bager nikah nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 20-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19290
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa, mai 1 bewa larki sy doosri shadi karna chah raha hoon or uski 1 beti hai jisko adopt krna shart hai to us aurat ki beti mere lye to na mehram hogi to is soorat e haal meri tafseeli deeni rehnumai farma dain

Answer: Agar kisi aurat se nikah kiya jaye aur is ke sath hambistri ki jaye to is aurat ki beti, nawasi, poti aur jitna silsila neeche chala jaye sab aurtain is mard ki mehram ho jati hain chahe wo nikah ke waqt moujood hon ya baad me paida hon. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2351). [Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19306
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia talaq shuda orat sy shadi krna jaiz hai ha nhi

Answer: (agar sahe talaq hoe ho or agar aurat se us ke shohar ne jima kia ho tu aurat ki iddat mukammal hone ke baad us aurat se shadi karna Jaiz hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01867/ ). [Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19341
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Kia shohar ka bv Sy 2 mahina tk na bat krna naraz rehta or dusre shehr chalay Jana ,na he karcha uthana . Na he kch or .in Sab Sy nikkah tot jata h kia?

Answer: NULL

Id: 19347
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AGR Larka larki raazi ho shadi k le or larki ki family raazi nh ho , or Larka larki physical relationship m bi ho , Larka agr court marriage kare larki se or larki ki sign ghar Beth kar hosakti hai ? Larki court m na jaye ghar Beth kar hi sign karde ??

Answer: NULL

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!