Question: agar aik mard married ho aur larki unmarried laikin wo dono zana se bachnay k liay nikah kr lain.aur jab us larki k ghar walay uski shadi kaheen aur krna chahain to wo pehlay mard se divorce lay lay.kya islam main zina se bachnay ka yeh tareeka jayaz hai?
Answer: 1)kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. 2)Zina se bachnay k lie nikah(daimi/mutaa) kia ja sakhta he magar mandarja balla maslay ka khayl rakhna zaroori he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-2, 2385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam molana allah aap ko salamat rakhy plz ye bataye k kia syed zaadi ka nikah ghair e syed se ho sakta hai plz jazakallah allah hafiz
Answer: Shia Sayed merd ka nikah ghiar syed shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mein shadi shuda hun.kia mein apni sali se shadi kar sakta hun.dono ko 1 sath rakh sakta hun.
Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahae wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: SALAM SIR MERA SAVAL YE HE KE KIYA APNI SAAGI KHALA SE SHADI KI JASAKTI HE AUR AGAR HAAN TO KESE OUSE JAIZ KIYA JAKASTA HE
Answer: Jee nahi khala se nikah karna haram he q k un auratoon k sath jo insane ki mehram hoon nikah haram he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aslam0alaikum molana main yeh pochna chata hoon k kia main apni cousin ki beti k sath shadi kar sakta hoon ya nai?
Answer: Jee haan shadi kar sakhtay hein. Faqat 7 qism ki auratoon se shadi karna haram he. 1)Maa 2) beti 3)behn 4)bhai ki beti 5)bahn ki beti 6)bap ki bahn 7) khala. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: main ne bap ki ijazat kbina nikah kar liya hai kia hmaranikah ho gya hai.
Answer: kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr ksi nay zina kia ho to kia uska nikah haram hota ha ya halal.. or kia uska shadi krna zani say he lazmi ha ya ksi say b shadi kr sakta/skti ha???
Answer: Wo kise or se bhi shadi kar sakta hai. aur jis ka sath zina kiya hai us hi se shadi karna zarori nahe hai. Zina kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Main ek ladki se pyar karta hu. O bhe mujhse pyar karti hai magr o kafir hai kya main saadi kar sakta hu
Answer: Gee nahi Musalman mard ki shadi kafir(ghair kitabi) aurat se nahi ho sakti.(lehaza phele us aurat ko musalman hona zarore hai us k bad ap shadi kr sakte hen.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2362)
Question: Salam, jnab main ye janna chahta hun ke bina biwi ki marzi ke mard kisi orat se nikah kar sakta hai.
Answer: Nikah e daa’imi ya nikah e munqata(muta) k liay pehli bivi ki ijazat laina wajib nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), mihajus Saliheen,part #3,maslah#200,202). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: shide kitne years k bad karna acha ha
Answer: Shadi k liay behtareen umar jis umar main zimedaroyaan nibha sakay (Ref: sistani.org, urdu topic shadi.). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)