Question: shaadi se pehle agar kisi ladki se mohobaat ho aur dono me jaise ki nikah me ikrar hota hai huaa ho to kya ye rista shaadi ka darja rakhta hai ya nahi ? aur mohabat pori karne ke liye dusri shaddi jaiz hai
Answer: Aqd e nikah ki sharayet me hain ke:- 1) Ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay. 2) Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3)Ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mere papa mama ki begair ijazat k nikah karna chahty hain\. kya yeh jaiz hai?
Answer: Jee Han ye jaiz he. Nikah e daa’imi ya nikah e munqata(muta) k liay pehli bivi ki ijazat laina wajib nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), mihajus Saliheen, part # 3,maslah # 200 - 2).
Question: salam mera sawal ye hy k agr kisi larki sy zana kia ho to wo pregnant ho jaye aur abotion krwa ly to jis larky ny us larki sy zana kia ho to wo dono nikah kr sakty hein k nai
Answer: 1) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2)Agar koi aurat zina se hamila ho jay to bachay ko ghirana(abortion) is k lie jaiz nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2364 , 2417). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya urdu zaban mai larka aur larki nikha aapas mai padh saktay hai.aisa karnay dono miya biwi ban jayengai.
Answer: Ethiat e wajib ki bina per nikah ka sigah Arabic zaban me parha jay aur agar khud mard aur aurat sigah Arabic me na parh sakhtay hoon to Arabic k alawa kisi doosri zaban me bhi parh sakhtay hein aur kisi shakhs ko vakeel banana lazim nahi he albattah un ko chahiay k wo alfaaz kahain jo “zau,wajtu” aur “qabiltu” ka mafhoom ada kar sakhain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: meri talak ho gai ha,,iddat b pori ho gai ha ab mujy ek larka pasand ha mery ghar walay nahi maan ray kiya main shadi kar sakti ho u se
Answer: Agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kanwari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr bewe mar jai or oska khawand os k janazay ko kandha day too kia os ourat or mard ka nikah toot jata hai?
Answer: Musalmaan ka ghusl, hunoot, namaz e mayyit, or dafan chahay mernay wala 12 imami shia nah bhi ho, os k wali per ye umoor wajib hain.shadi shuda aurat ka wali os ka shohar hay.biwi apnay shohar ko ghusl e mayyit day sakti hay or shohar bhi apni biwi ko ghusl day sakta hay or sharam gaah ko daikh bhi saktay hain. Agar koe aurat bay aulaad mer jay tu os k maal ka nisf hissa shohar ko or baqi maanda dsoray wurasa ko milta hay.or agar aurat ki isi shohar se ya kisi aur shohar se aulad ho tu saray maal ka ¼ hissa shohar ko or baqi maanda dsoray wurasa ko milta hay. (Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 531,535,548,552,2727) Note:ye tamaam batain isi baat per dalalat kerti hain k biwi ya shohar main se kisi aik ki wafaat se rishta e azdawaaj nahi toot ta. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salaam, agar biwi pregnant ho or husband biwi ki haan ke baad kisi or se sambandh bnaye tho kya jayej hai.
Answer: Aik se zaid shadi karna riwayat ki roshni me mustahib he .(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53)
Question: kya larki ke nikah m baap razi na ho to kya dada aur chacha larki ka nikah karwa sakte hai ?
Answer: Jee haan.agar dada razi ho tub hi nikah sahi hoga.laikin chacha ki ijazat zarori nahi hay.Q keh Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalam alekum. mera sawal ya hai ke kia apni sagi bewa mumani se shadi ho sakti ha .
Answer: Jee haan shadi ho sakhti he. Faqat 7 qiam ki auratoon se shadi karna haram he. 1)Maa 2) beti 3)behn 4)bhai ki beti 5)bahn ki beti 6)bap ki bahn 7) khala. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2349). (magar wafat ki iddat khatam honay k baad) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: molwey sahib meira sawal ye hey ,ki islami nuqta ye nazar se is masley ka kiya hal hey ,ki eak karkee ko mun se behan kaha ho awer us se shadi karney ka irada ho jaye ,kiya us se shadi ho sakte hey ?
Answer: Jee han shadi ho sakhti he ,moonh se behen kehnay se wo mehram nahi ban jati.Faqat un auratoon k saath jo insan ki mehram hon shadi karna haram hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)