Question: apni marzi sy shadi krnay ka masla
Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar kisi sharif ur namazi larki k liy aik sharabi ur galat fail waly larky ka rishta i magar wo larka dil ka acha ho tu us k sath rishta kia jay yan nhn.
Answer: aurat or os k wali(baap/dada) ko chahiay keh on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho.( Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 387) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia 2 behanon ko baik wkt 1 he shakhs nikah mein rakh skta hei k nai bht majbori ki halat ho please lazmi mail me answer dain bht shukria
Answer: Agar koe shakhs kisi aurat se shadi karay to to chahae wo daimi nikah karay ya muta karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behen se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam mera sawal he k meri dost k husbnd apni sali yani biwi ki behan se usko panah dene ki gharaz se shadi krna chahta hei kia islam is baat ki ijazat deta hei?jaldi jawab dena thanx
Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahae wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355)
Question: ma shadi se pahlay larki do dekhna chahta hon..plz quran,sunat k ref.se guide karen.
Answer: Mard shadi se pehlay is aurat ke maqamaat e husn ko dekh sakhta he ya is se hum kalam ho sakhta he jis ka rishta lena chahta he. Is bina per isi khatoon ka chehra, is k baal, gardan, haatheliyaan, pindliyaan, kalaiyaan aur is qism k maqamaat e husn ko dekhna haiz he magar shart ye he k is nazar ka maqsad jinsi lazzat hasil karna na ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 390 pg # 233) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam kia shohar baik wkt 2 behno ko apne nikah mein rkh skta he? plz answe krain me bohat baar pehly bhi yehi question kr chuki hon mgr mujhy answer nai dia gaya
Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya muta karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). Note: Quran main sorah nisaa ki ayat #23 main bhi is hokum ka zikr aya hay k “tum per haram kia gaya hay k …………. do behno ko (nikah) jama karo…” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya apni saagi khala se shadi karna thek he aur agar ho sakti he to to tarika he kiya plz. bataian
Answer: Jee nahi apni khala se nikah karna jaiz nahi he. Faqat 7 qisim ki auratoon se shadi karna haram he. Jin me se aik khala bhi hein. Saath mehram aurtain ye hain: 1)Maa 2) beti 3)behen 4)bhai ki beti 5)bahn ki beti 6)bap ki bahn 7) khala. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ager wife gulti se ya mazaq mein husbend ko bhai keh day to kya nikah toot jata hai
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Jee nahi is se nikah batil nahi hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam!mere nikah ko 3 sal hogaye hai lekan abhe shadi hoi hai ky nikah dubara karna jaiz hai ya nahi plz muje tora agha kare
Answer: Nikah k baad jab bhi kabhi bhi rukhsati ho, dobara nikah ki zarorat nahi hoti.yaani is kaam ki wajah say(late rukhsati) nikah nahi toot ta. Aur agar dubara nikah karna chahae to kar sakhtay hein.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2349-2508). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar apni biwi ko galti sy ya jan bojh k insan beti,behan,maa,bhabi kah dy tu kia nikah tot jata ha..? pher ye btaein k is ka hal kia hai..?
Answer: Is terha se biwi haram nahi hoti he aur na hi koe kaffara ho ga. Q k ye zihaar nahi kehlaay ga. Or zihaar ye hay k sohar apni zauja ko mukhatib kar k ye sighah arabi zaban main kahay k “anti alaiya kazahri ummee” aur zaruri he k zihaar ka sighah 2 aadil mardoon k samnay kaha jaay aur wo dono sunain. Aur shohar apnay ikhtiyar se kahay. Aur zihaar k sighay mard ki taraf se hoon. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 634-640) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)