Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2032
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ahl-e-kitab se shadi karna jaiz ha iska tfseeli jawab dejea or Quran o Hadis ki roshni main with references

Answer: Musalman aurat kafir mard se shadi nahi kar sakhti chahae daimi nikah ho ya mutaa, kafir ehl e kitab ho ya na ho. Musalman mard bhi ehl e kitab k alawa kafir auratoon se nikah nahi kar sakhta. Lakin ejlay kitab(yani yahoodi aur essai) auratoon se mutaa karney me koi haraj nahi he aur ehtiyaat ki bina per un se daimi aqd na kia jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2035
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main ik larki se love karta hon uske ghar waly nahi mante ham ne 2 gohaon ka samne nikka kar lia ha kia ya jaiz ha ?

Answer: 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). 2)Nikah karney me gawahoon ki zarorat nahi he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335) 3)jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2039
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia larrki apni pasand se shaadi nhn kr sakti? jabke uska baap us k rishte ko haan krne k baad kch problems ki wjah se inkaar kr de..

Answer: 1) lakin kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2041
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia sali ki beti say shadi jaiz hay.

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Insan apni sali ki beti (biwi ki bhanji) say apni biwi ki ijazat k bagair shadi nahi kar sakta lakin agar wo apni biwi ki ijazat k bagair nikah kar lar lay aur baad may biwi ijazat day day to phir koi iskaal nahi hay. Aur agar ijazat na day to in ka nikah batil hay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2357-8) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2042
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri sawal ya ha ka shadi ki date rakhana sa phala larki ki mahwaari ka din poacha jate han ya nae

Answer: Haiz k ayyaam (days/ periods) mein aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai. chahay maqam e paishab sirf supari ki had tak hi aurat ki sharam gaah main dakhil hoa ho aur mani bhi kharij nah hoe ho, balkay ehtiyaat-e-wajib yeh hai ke supari se kam miqdaar mein bhi jima nah kia jay. albattah yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima k liay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi k bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho) or razi honay ki sorat main shaded makhroh hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448, & Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2063
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam alekum janab.mai ye janna chahata hu k kya islam mai insan apne sagi bhanjee se nikha kar sakta hai.

Answer: On aurtoon k saath jo insan ki mehram hoon nikah haram hay. maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji, saas. etc (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2083
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera nikkah huay ek saal hogaya hai. magar abhi rukhsati nahin hui. kuch financial problems ki waja se rukhsati delay hui hai. aur abhi further 6 months delay ho sakti hai. kia itna waqfa jaiz hai. aur kia es se nikkah pe koi asar tu nai paray ga.

Answer: jee nahi is se nikah per koe asar nah perhay ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2328-2384) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2095
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye ha k kia 6 month husband wife se sex na kary to kia nikah toot jata hy ya is mein koe aur ahkam hy

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Is se nikah batil nahi hota he albetta Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah # 2335 , 2382).

Id: 2107
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main shia aur syed hu. main ek sunni larkay se shadi karna chahti hu. kya hmari shadi ho skti hy?

Answer: shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Sayed merd ka nikah ghiar syed aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2115
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mari Mangatar ka NIC Nhe Bana Howa Kya Nikah ky Leye NIC ka Hona zarori hai ya Nhe

Answer: Nikah k lie NIC k hona zarori nahi he. (Ref: Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!