Question: Kia bukhari syed khandan ki larki ka qureshi khandan k larke se shadi karna jaiz hai ya na jaiz plz forgive me answer
Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assallam allekum Me ek ladki se pyaar krta hu aur ladki bhi – ham dono ek dusre se shadi krna chahte hai magar mere father shadi k liye razi nhi ho rhe hai kya me us ladki se nikah kar skta hu apne father ki ijjazat ke bina plz bataye
Answer: 1)Larka apnay wali ki ijazat k bagair shadi kar sakta hai laikin kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). 2) Jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai hop aur is ki mukhalifat sai unhain takleef hoti ho to aulad ko in k hokum ki mukhalifat krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1387) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamu alekum mera sawal he kya apni sagi bhatiji se nikah hosakta he
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Agar sagi bhetaji sai aap ki murad aap k bhai ki bahan hai to q k wo aap ki mehram hai is lie nikah haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalamu alekum mera sawal he kya apni sagi bhatiji se nikah hosakta he
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Apni sagi bhateji sai nikah karna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera ques. ha ke koi larki ap c age m 10 sal barae ho.us k aik jaga nikah hoa ho bt ruqsati se phle e tot jae.kia me us se nikah kar sakta hn
Answer: Agar sahi tareeqay sai talaq di gae ho aur aurat ki iddat bhi khatam ho gae ho to os aurat sai nikah ho sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2338-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ABOUT NIKAH
Answer: Nikah k zarie aurat, mard par aur mard aura tar halal ho jatay hain aur Nikah ki 2 qismain hain 1. daimi(permanent marriage), 2. gair daimi (temporary marriage). Nikah e daimi osay kehtay hain jis mai izdiwaj ki muddat tay na ho aur wo hamisha k lie ho, aur gair daimi wo nikah hai jis mai izdiwaj ki muddat moiien (decide) ho maslan aurat k sath aik ghantay ya ya din ya aik mahinay ya aik sal ya is sai ziada muddat k lie aqad kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, nikah k ahkam) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: bapp ka ajazat bagair ladki shadi kar sakta hai ki nahi
Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yaha kawari nah honay say murad sirf ye hay k aisi lerki jo talaq yafta ho ya baywah ho or oskay sohar nay oskay sath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zaroorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zaroori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna lazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Ek larki hai jo mujhe bhai kheti hai chahe dil se ya maa baap ke dar se lekin mujhe us larki se pyar hai tu meri us se shahdi jaz hai egr hai tu mein us ke sath jismani taluqat qaim kar sakta ho keya?
Answer: Ye aurat aap k lie na mehram hai is lie aap is aurat sai nikah kar saktay hain. Albetta jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam-aley kum kya agar koi hindu apna mazhab change kar dey to vo ek syed ladki se shadi kar sakta ladki k liye kya sharah hogi aise condition mai agar ladki bhi usse pasand karti ho par ma bap na raazi ho.
Answer: Hindu jab muslman ho jae to os k sath shadi jaiz ho gi albetta Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia 2 balig log apna nikha khud apni zubani kr skty hn? Or Allah k Bgair kis or gwah k?
Answer: 1)Nikha ka sigah aurat aur mard khud parh saktay hain ya kisi ko vakil bhi bna saktay hain ta k wo in ki taraf sai nikah parh dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328) 2)Nikah k lie gawah karna mustahabb hai aur zaroori nahi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).