Question: Islam mai behan k rishtay k lie kia hokum hai?
Answer: Aurat or os k wali(baap/dada) k lie behtar hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka sohor main hona zarori hay. aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo dendar,pak daman,or baa akhlaq ho. sharabi na ho or burai or muhliq gunaho ka irtekab na karta ho (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: nikah say pehly agar hamal thar jay tu kya us halat ma nikah ho sakta ha?
Answer: Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera question yeh hai ki mera ek dost ek ladki se pyaar karta hai. Lekin woh ladki hindu hai . To kya yeh pyar jayez hai?
Answer: 1)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi koun k gunah mai mubtilla hone ka khof majood hai. ( Ref : Kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2)Musalman mard kisi kafir aurat sai nikah nahi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2362)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir plz mjhy mery qestion ka ans den kia quran pak r ALLAh ko hazir nazir jan k nikah ho skta h agr koi b or gawah mojod na ho?????
Answer: 1)Nikah main gawaho ka hona or nikah ka ailan kerna wajib nahi hay balkeh mustahab hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#3 ) Is k alawa nikah ki chand shrtain hain. 1.Ehtiyaat e wajib he ke segah sahi arabi me parha jae. 2.ye k mard aur orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala zarori hai k aaqil ho aur agr apnay lie parhay tou balig bhi ho. 4)wakeel k lie mard aurat muaiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 2335) 2)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi). isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabar(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zaroori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kindly tell me about muttah? and conditions of muttah? is muttah allowed with married women who has separated from his husband but not divorced and no physical relations.
Answer: Yes he can, but this act is haraam and gunaah e kabeera so do toba.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430) , (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2364) Update on dated 20-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: as salam alikum.mera sawal hai k kaya ek larka apni sali se shadi kar sakta hai jab k us ki biwi b mojod ho
Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). Note: Quran main sorah nisaa ki ayat #23 main bhi is hokum ka zikr aya hay k “tum per haram kia gaya hay k …………. do behno ko (nikah main) jama karo…” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mei aur meri dost akeley miltay they aur hum ne buray kaam kiye hain, zina nai kia magr usk kareeb sab kuch kia hai , kia humari shadi ho sakti hai ? Hum ne us wakt k baad aisa kuch nai kia na he kabi socha hai.
Answer: Gee haan, is sorat main shadi hoskti hay.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mere nana ne do shadia ki thi tou main apni soteli khala se shadi karna chahta ho tou mjhe es ka jawab dain kia ho sakta hai kay main shadi kar lo apni soteli khala se
Answer: Agar souteli khala se muraad wo auraat hai jo aap ki maah ki bahn ho aur donoo k baap aur maa(waldain) same hon , ya baap same aur maa alag ho, ya maa same aur baap alag ho to in teenoo suratoo mai wo aap ki khala hai aur in se shadi karna haraam hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kaya iehsai larki sy nikha jize hai k nhi larka muslim hai or ager kabhi baat ho tu kehta hai hum kuhd tu muslim ho jaein
Answer: Musalman yahodi or esae aurtoon se muta(temporary marriage) ker sakta hay laikin ehtiyaat lazim ki bina per on se daimi aqd(permanent marriage) nah kia jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2362)
Question: Aslam o alaikum. Kya maa(mother) ke khala zad (cousin) sy shadee krna jaiz hy jo umar main brabar (age fellow) ho
Answer: Maa ki khala sai shadi karna haram hai laikin maa ki khala ki beti sai shadi karna sahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).