Question: can a sunni girl marry a non sunni boy?
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Question: Asslaamu Aalikum...meri umer 18 saal hai, mera sawl yeh hai k agar m shadi se pehle kisi ladki se zinha nahi karunga ton kya meri jisse shadi hogi wo bhi kisi ladke k sath nhi leti hogi..mera matlab usne kisi ladke sath zinha nhi kiya hoga.....
Answer: Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aslamalekum. molana sahb maine suna hai k agar khala ya anti k sath zina karnay ka soch bhi lain laikan agar na karai to un ki bation sa nikkah haram ho ga.kia yeh drust hai?
Answer: 1)Agar Khala ya phophi ki larki sai nikah karnay pehlay agar apni khala ya phophi sai zina karay to un ki larkion sai ehtiyat e wajib ki bina par nikah nahi kar sakta hai, faqat sochnay sai nahi hota hai. 2)Haram k baray mai sochna agar inzal(yani mani ka niklna) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agr koi lrka apni hny wali biwi se nikah k phly he us k sath mly aur kissing wagera kary aur k0i ghlt kam na kry to kya nikah hga us k lrki k sath
Answer: Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k zina nahi hai magar haram hai. aur nikah ho jae ga. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam.....sir mera sawal ye hai ki kya mai apni aunty ki behan se nikah kar sakta hu jabki uske ghar wale razi hai.?? Plz answer de
Answer: On aurtoon k saath jo insan ki mehram hoon nikah haram hay. maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji, saas. etc) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2349 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kisi kadki k lia rishta aia ha aur ladki k abbo na kaha soch k bat do ga aur ladki abai shadi nai krna chate to wo kya kra is ka koi tood ha?
Answer: jab tk larki nikah k liye razi na h tab tak uska zabardasti nikah nahi hosakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335).Update on dated 06-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kya ek ladki do ladko ke sath ek sath shadi kar ke reh sakte hain?do no ke sath samdhand rak sakte hain.
Answer: G nahi ye jaiz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366).Update on dated 06-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kia ph py ladke ka nikah ho skta hy.jb k ladke ijazat dy dy kisi ko.gavah,dulha or qaze sb bethy hon or ladke sy ijazat ph py koi ly or ldke ph py nikah k bad tk ho.
Answer: Phone par nikah ho sakta hai q k nikah mai sigah parhna zaroori hai chahae phone par parhain ya samnay parhain laikin likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam..........jab bh meri beti ka rishta ata hai dil me ek ajeeb sa khoof ata hai koi bh jawabnh dy pate is silsile me kia karna chahaye??????
Answer: Aurat aur os k wali(baap/dada) k lie behtar hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka sohor main hona zarori hay. aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo dendar,pak daman,or baa akhlaq ho. sharabi na ho or burai or muhliq gunaho ka irtekab na karta ho (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: shadi shuda ourat ky sath agar ap intercourse ky ilawa kiss karoo tu us ka nikha khatam ho jata hai kia ???
Answer: Gee nahi nikah nahi toot ta magar aisa kerna gunnah-e-kabeera hay.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2345 and Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla #30). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)