Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4884
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asallamualikum ap se ek sawal puchna ta agar koi larki(girl) shadi na karna chahy to is k liyee kia gonah hy islam k mutabik.. kindly send me the detail in the light of hadis and quran

Answer: Shadi karna un mustahabat mai sai hai jin ki islam mai bohat ziada takeed ki gae hai is lie Rasool e Akram s.a.w.w. nai farmaya hai k “Jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai.” is k alawa aur bhi be-shumar hadees moujood hain jin mai shadi karnay ki takeed ki gae hai laikin Jo shakhs shadi na krnay ki wajah sai fail e haram mai mubtila hota ho os par shadi krna wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385 pg # 231) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4921
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera husband 2sri aurat me intersted hai aor wo aorat shadi shuda hai..pehly b ak aorat me intrsted tha us pe bohot pesa zaya kiya .mery sath thek hai lekin jb me us aorat se rokoon to larta hai . aap bataye me kiya karoon

Answer: Aap un ko samjhae k aik mard 4 shadi to kar sakta hai magar kisi sohardar aurat sai nikah nahi ho sakta hai jab tk k wo kisi doosray k nikah mai hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2366-67)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4968
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: merey parents shadi k lye ni manaty plz hal btaem

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zaroori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna lazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5035
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar larka or larki dono ek dosraya ko pasand kartay hon or wo bagair shadi k ek apas mai zina karay or wo shadi bhe karna chatay hon to us ke kia mafi hai or kia wo dono shadi kar saktay hai apas mai

Answer: Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5039
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia chachi ya Mami ko talak ho jaye to is ke sath nikha jaiz hai ya nai?

Answer: Jee haan talaq k baad iddat ki muddat guzarne k baad on se nikah kerna jaiz hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349) Update on dated 11-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 5048
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya bhabi k sath nikha jaiz hai

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jab tak bhabi bhai k nikah mai hai os waqt tk bhabi sai nikah nahi kar saktay hai. han bhai ki wafat k bad ya talaq k bad bhabi sai nikah ho sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349-2375)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5060
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia tele phone pe nikah ho sakta hai e mail pe bata dain pleaseeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

Answer: Phone par nikah ho sakta hai Q k nikah mai sigah parhna zarori hai chahae phone par parhain ya saamnay parhain laikin faqat (nikah nama) likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5063
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: me jab bhi kisi larki ko dekhta hu to mere andar kuch hone lagta hey.or muth marne ko dil karta hey. mufti sahib is ka koi hal btain. plzzzzzzzzzzzzzzz

Answer: 1)Jo shaks shadi na hone ki waja se haraam kamon men mubtila hota ho is per wajib hay k shadi kar le.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 2407) 2)Istemna krna (hand practice) haram hai chahay kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5066
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya mard aurat ki sharmgah ko apny munh se chuu skta ha ya nai or biwi b?

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5071
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agha shab hum ap ki har bat manty hain alla ap ko lambi umer dy humain bata dain kia phone pe nikah ho sakta ha agar ho sakta ha to kaisy ap ke jawab ka intizar rahy ga e mail pe jawab dain ap ko dua dain gyyyyyyyyyyyyy

Answer: Phone par nikah ho sakta hai q k nikah mai sigah parhna zaroori hai chahae phone par parhain ya samnay parhain laikin likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahi hai. is k alawa nikah parhnay k lie kisi ko vakil bhi bna saktay hain. Aur nikah ki chand shrait bhi hain jin ka nikah parhtay waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!