Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5079
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam masnoon mera masla ye hai ki kya haml ki surat me nikah ho sakta hai?

Answer: Jab aurat shohar daar ho yani kisi ki biwi ho to us k liye shohar k hotay huay doosri shadi krna haram hai leikin jab shohar talaaq day day ya shohar ki wafat ho jae to iddat k baad doosri shadi kar sakti hai.(chahe hamal ki halat men ho) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 2366)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5086
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya mai apni maa ki khala ki larki se shadi kr skta hu kya yeh islam m jayej h

Answer: Maa ki khala ki larki aap k lie na mehram hai aur aap is sai nikah kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5103
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia islam main khala aur bhanji ko aik time nikah main rakh saktay hay

Answer: Khala aur bhanji donoo mehram hain aur in sai nikah karna haram hai, chahay aik time mai shadi karain ya alag alag time mai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5104
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya main apne chacha ki beti se shaadi kar sakta hoon..

Answer: Jee han chacha ki beti sai shadi krna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5121
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mein ek larki se mohabbat krta hun woh meri door ki rishtedaar hai wo umar mein mujh se shayad 2 ya 3 saal bari hai kya meri uss se shaadi jayaz hai?

Answer: 1)Apnay sai bari umer ki larki sai shadi karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335) 2)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5135
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr ek sunni larka shia larki sy shadi kr lay to kya ye jaiz hai ..?

Answer: Agr shia larki k walid is nikah se razi hen or shia larki ko apne eeman or aqeede k kharab hone ka khoaf bhi na ho to jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 04-01-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5196
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i want to marry a girl she also want to marry me. our parents are not agreeing what to do?

Answer: If a girl has reached the age of bulugh(balig) and is virgin and mature (i.e. she can decide what is in her own interest) wishes to marry, she should, obtain permission from her father or paternal grandfather, although she may be looking after her own affairs. It is not, however, necessary for her to obtain permission from her mother or brother. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5227
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is this possibel?a ahl e sunat girl marriagr with ahl e tashee boy

Answer: Note : Is website par fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Momin(12 Imami shia) merd ka naasbiya aurat k alawa doori musalman(maslan sunni) aurton se nikah kerna jaiz hay, isi terah momina(12 Imami shia) aurat ka naasbi merd k alawa dooray musalman(maslan sunni) merdo se karahiyat k saath nikah jaiz hay. Laikin agar momin merd ya aurat ko gumrahi ka khoof ho tu haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #215). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5228
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya sunni aur shiya ke darmyan nikah jaiez hai nikah ho skta hai tafseel se bayan ki jye

Answer: Momin (12 Imami shia) mard ka naasbi aurat k alawa doori musalman (maslan sunni) aurton se nikah kerna jaiz hay, isi terah momina (12 Imami shia) aurat ka naasbi merd k alawa dooray musalman(maslan sunni) merdo se karahiyat k saath nikah jaiz hay. Lekin agar momin merd ya aurat ko gumrahi ka khoof ho tu haram hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215, Eidition 1417 hij). Update on dated 19-02–2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 5230
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alikum, kia sayed larki ka nkiah non sayed larkey se jaiz he .agr sayed zadi non sayed se nikah krna chahey to kia wo jaiz ho ga?

Answer: G han jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1417 hij)(Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #).Update on dated 19-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!