Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5235
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: syedzadi ka nikah gher sayed se mumkin hey .agr syedzadi kisi gher syed ko pasand krti ho or shadi krna chahey to nikah ho skta hey?

Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. Magar kunwari larki apnay wali (bap dada) ki ijazat k bagair nahi kr sakti hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1417 hij / Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42). Update on dated 19-02-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5325
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar lrka or lrki court marg kr ln or phr lrki k ghar walaay zabardasti lrkay ko maar k talak k kagzat py sign ly ln tou kya talaaq ho jati h?

Answer: Nikah ki sharait: 1)Larka apnay wali ki ijazat k bagair shadi kar sakta hai laikin kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). Talaq ki sharait: 2) Is terah talaq nahi hoti hai talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5351
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar koi admi dusare admi ke sath zismani sambandh banata he to kya uska nikah tut jata ha

Answer: 1-Lawaat / Ighlaam gunah azeem hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #30) 2-Agar koe shaks kisi aurat se shadi karay or shadi k baad os aurat (yani wife) k baap, bhai ya baitay se Ighlaam/ Lawaat (anal sex) karay tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo aurat(yani wife) os merd (yani husband) per (hamesha k liay) haram ho jati hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2370). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Oper biyaan ki gae sorat k alawa ighlaam/ lawaat kerne se shohar ka apni bivi se nikah nahi toot ta.

Id: 5352
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar koi admi apani biwi ke alawa kisi du sari aurat ke sath bina nikah ke zismani sambandh banata ha to kya ous ka nikah tut jata ha

Answer: 1)Zina karna gunah e azeem hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part# maslah #29). 2)Is haram kaam ki wajah bivi apnay shohar per haram nahi hoti. (Ref: Email rcvd from ayatollah sistani d.b). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5372
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mra swal ye h k mri ummar 16 h or jb mra nika howa tha to mre walid sahb is rishte se ka khush the jb k mra nikah mra bhay0n 0r mre shohr ki raza se howa h jb k me bhe is reshte se dil se raze nai thi mne majbori me nika ki h kia ye nika jayez h ya nai

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Agar kisi aurat ka nikah kisi merd se is ki ijazat k baghair ker diya jay or baad main aurat or merd is nikah ki ijzat day dain tu nikah sahi hay. Ijazat k liay koe aisi baat kahain ya koe kaam aisa anjaam dain jo rizamandi per dalat karay tu kafi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2338) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5383
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal apse ye ha k mery dost ka nikkah ha wo ye janna chahta ha k nikah k liye nikkah khuwan larki waly bulaty hain ya larky waly ?

Answer: Apki marzi hay ya tu lerkhi or lerkay walay mil ker aik nikah khan se nikah perhwa lain, ya lerhki or lerhkay walay dono alag alag apnay nikah khan ka badubast karain. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2332,2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5451
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can a shia syed girl marry to sunni shaikh boy who is not dushmane ahlabait but love and believe in ahlebait too.But by aqaid namaz etc he is sunni ? please make it clear according to islam

Answer: Shia larki ki sunni larkay sai shadi mai agar is baat ka khof aur dar ho k kal ko aap gumrah bhi ho sakti hain, jis ka ehtimal moujood hai to phir aap k lie is sai shadi krna jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 136,pg # 62)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5466
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jis larki kay sath zina kia ho us say shadi kerna jaiz hai ??

Answer: Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5472
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: May ek ladki say shadi karna chahata hu.aur manay uskay saat sohabat ki hay. Ab kay shakl hay .hamay abhi shadi nahi ki hay.par ye hamsy huwa hay.kay Kare batwo.

Answer: 1)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5497
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya mai apne mamu ki sali se shaadi kar sakta hu

Answer: Jee han Mamu ki Sali sai shadi ki ja sakti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349). Update on dated 19-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!