Question: sir me married hu ek hindu ladke se pyar karti hu kya use muslman bana kar me dusri shadi kar sakti hu plz reply must
Answer: Agar aik aurat sohardar ho yani os ka sohar moujood ho to wo doosri shadi nahi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2366)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia wife k bhai ki beti (biwi ki bhateeji) se nikah jaiz hei?
Answer: Insan apni biwi ki ijazat k bagair us ki bhateeji sai shadi nhi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2357)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: KYA SALI KE SAAT SEX KARNE SE BIWI KE SAAT NIKAH NAHI RAHTA .
Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta. Laikin is sai nikah nahi toot’ta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). Note: Quran main sorah nisaa ki ayat #23 main bhi is hokum ka zikr aya hay k “tum per haram kia gaya hay k …………. do behno ko (nikah main) jama karo…” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam:mera sawal ye hai ke jis larki se zinnah kia jae kia us se nikah ho skta hai?
Answer: Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia ek jorey ka nikha shia aur sunni dono tarekho se parhaya jaa skta hai ya nahe...?
Answer: Nikah to parha ja sakta hai magar shia tareeqay sai parha gya nikah hi sahi ho ga. yani sunni nikah krnay k baad larki halal nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-44)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam o Alaikum. Please tell me that is it allowed for a Non-Syed Shia Male to marry a Syeda Female? Please tell if there is any condition or requirement to get married with a Syeda Female. Please explain with reference of books. JazakAllah
Answer: Muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai isi lie Syeda shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k sath jaiz hai. aur isi terah gair syeda shia aurat ka nikah syed shia mard sai ho sakta hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Can a non-sayyid Male marry a sayyida Female? Please provide any reference of the book of Seyyid Ali al-Sistani R.A.
Answer: Yes non shia syed male marry with a syedah shia female.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya Chota Bhai Apne Bade Bhai Ki Bewa Se Shadi Kar Sakta Hai?
Answer: Jee han shadi kar sakta hai magar pehlay os aurat ko wafat ki iddat karni paray gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Now that DNA can identify parents, can a woman have multiple husbands? Thanks. Fayaz
Answer: No, it is prohibited for a woman to have more than one husband at a time.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2366). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia talaq wale lady ko shadi krni chiay
Answer: Talaq wali larki shadi kar sakti hai magar iddat puri honay k bad aur phir os larki ko doosri shadi k lie wali ki ijazat ki zaroorat bhi nahi aray gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2382-2480)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).