Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5691
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam alikum-mera sawal ye hai ki kya koi sayed ldki lower (obc)caste ke ladke s shadi krskti hai .2no muslim ho to .

Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5693
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main Awan family se belong kerta hoon, aur asna ashri hoon. Kia main aik Kazmi larki se nikah ker sakta hoon?

Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5727
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamualaikum.hazrat shadi kitne sal ki ladki se kar sakte he islam ke tarike par

Answer: Baap aur dada apni na balig larki ka nikah kar saktay hain laikin agar koi shakhs na-balig larki sai nikah karay to is larki ki umar 9 saal honay sai pehlay is k sath jima krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2340, 2374)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5728
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa Mera sawal hai k kiya shadi suda larki sy shadi ki ja skti hai , larki or larka dono razi ho is bt py

Answer: Larki aik waqt mai 2 nikah mai nahi reh sakti hai albetta talaq ya shohar ki wafat k baad iddat mukammal karnay k baad doosri shadi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2366) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5732
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya noman ashiq sy meri shadi ho gi.hmari bat pki ho chuki ha.plz btaye ga

Answer: Aurat aur os k wali(baap/dada) k lie behtar hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka sohor main hona zarori hay. aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo dendar,pak daman,or baa akhlaq ho. sharabi na ho or burai or muhliq gunaho ka irtekab na karta ho (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5764
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is it permissible for a shia girl to desire to marry a shia boy out of love and affection where both the boy and the girl are intetested in each other. in such case what should be the duty of their parents?

Answer: If a girl has reached the age of bulugh and is virgin and mature (i.e. she can decide what is in her own interest) wishes to marry, she should, obtain permission from her father or paternal grandfather, although she may be looking after her own affairs. It is not, however, necessary for her to obtain permission from her mother or brother. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5767
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya Muslim Murd Hundu orat se shadi kr sukta hai kya ye Jaiz hai? ya kisi b gair muslim orat se shadi ki ijazet hai Islam main?

Answer: Musalman mard ehl e kitab(yahodi ya esae) k alawa kafir auratoon(maslan hindo) se shadi nahi kar sakhta.Laikin yahodi or esae autoon se muta kerne main koe haraj nahi hay or ehtiyaat e lazim ki bina par on se daimi nikah nah kia jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362). Note: Aap hindu aurat se nikah nahi ker saktay jab tak k wo musalmaan nah hojaay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #103,2362,3241). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5781
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: plz mere batka datil me ans deye ga kia ale kataab sy shadi jais hy or kia hukum hy quran me plz jaldi ans deye ga

Answer: Musalmaan aurat kafir merd say nikah nahi kersakti, chahay daa,imi(permanent)ho ya mu,aqqat(temporary), kafir ehle kitab (yani jews aur Christian) ho ya nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2362). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5783
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam..mera swala ye ha k kya ik syeda (lrki) ki shadi out of cast hoskti ha..?plzz answer zrur dijiye ga..

Answer: Shia Syed mard ka nikah ghair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5784
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam alekum wrwb......plz mujhe sahi wajifa bataye jaldi sse shaadi ek nai r shareef insan k saat taye hone k liye plzzzz eagerly waiting for or reply

Answer: Rasool(saww) nay famaya: aay Ali a.s surah e yaseen ki tilawat kia karo, is main 10 berkatain hain(in main say aik ye hai k)ghair shadi shuda,shadi shuda hojaega.(Ref:book dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal pg#18). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!