Question: maina ek ladki k sath sex kiya ab main aus sa shadi karna chata ho ya jyiz hain
Answer: Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kiya apni mami k sath shadi kr sgte hain?
Answer: Gee haan agar mamu nay talaq day di ho ya mamo ka inteqaal hogaya ho tu iddat e wafaat k baad shadi ki jaskti hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia aisay shakhs k sath shadi karna jaiz hai jo musalman to hai magar namaz nahi parhta hai. to is baray mai kia hokum hai?
Answer: Agar gumrahi aur munharif honay ka dar ho to jaiz nahi hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar aurat shadi is shart k sath karay k shohar doosri shadi nahi karay ga, to is baray mai kia hokum hai?
Answer: Agar nikah mai ye shart ki gae thi to shohar k lie wajib hai k is shart par amal karay aur doosri shadi na karay. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: meri shadi ho rahi hai mager main kisi aur si pyar kerti hoin plz koi wazifa batia
Answer: Nikah k sahi honay ki sharait main se 1 shart ye bhi hay k aurat merd nikah per razi hoon. Laihaza lerki ki ijazat k baghair shadi nahi hoskti (Ref:Ayatullah khomeni(r.h),Tauzeehul masail,maslah#2367). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: main ik syed larki si pyar kerta hoin aur main shia hoin meri as ki sath shadi ho sakti hai?
Answer: Musalmaan merd musalmaan aurat ka kufu(equal) hay or momin merd momin aurat ka kufu(equal) hay. Layhaza arabi ki ghair arabi se shadi ho sakti hay, syed ki ghair syed se ho sakti hay, is terah shareef or aonchay gharano k afraad ki shadi jharho dainay walay afraad se ho sakti hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #221) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya rzaai behn ki olaad sy shaadi ho skti hai???? Or kya agr koi lrki mzaak mai kisi ki maan ka doodh pee ly t kya woh rzaai behn bn jaati hai???
Answer: G nhi hosakti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2428) .gr mazak men doodh peene se apki murad ek martaba doodh oeena hai to is razaai rishta qaaim nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2438) Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: cristian larki se shadi jaiz hai ka nahi?
Answer: Ehl e kitaab kafir(esse or yahodi) kawateen se ehtiyaat e wajib ki bina par daaemi(Permanent) nikah kerna jaiz nahi hai laikin temprory nikah(mutah) kerna jaiz hai.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2362). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya ghair sadat ladka sadat ladki say shadi kar sakta hay - Please reply urgently.
Answer: Musalmaan merd musalmaan aurat ka kufu(equal) hay or momin merd momin aurat ka kufu(equal) hay. Layhaza arabi ki ghair arabi se shadi ho sakti hay, syed ki ghair syed se ho sakti hay, is terah shareef or aonchay gharano k afraad ki shadi jharho dainay walay afraad se ho sakti hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #221) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia sunni larki shia larkay say marriage karsakte hay larkay kay dono bhai ke wife sunni hay.
Answer: Shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 )