Question: mera sawal ye hai k kaya ik larki apne sa kam omer k larke sa shadi kar skhthi hai or agar kar skhyi hai yo phr kitni umer ka fasla hona cahiye
Answer: Apnay sai bari umer ki larki sai shadi karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Can a shia girl marry with pathan boy but after converting him into shia mazhab
Answer: Shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) Translation in English A shia girl is permitted to marry a sunny boy if he has not enmity towards 14 Masoomeen a.s, but this is makrooh. On the other hand, if the sunni boy is enmity towards 14 Masoomeen a.s, the nikah is haram. And if the girl feels going astray after marriage with that sunni boy, in this case it is also haram. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamualikum. To choosing a wife for a male in first meeting is it mendatory to have a mehrom with them and is there any relaxation in hijab and how much. Please reply in english.
Answer: wssalam o alykum, before marriage the man can meet the gril to come to know about the quality of girl, those should be in muslim girl, and the man also can see the gril and talk if there is no sexual taste.(Ref : jaded fiqha masail , masala # 387 , 390 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: souteli khala se shadi ho sakti hai
Answer: Agar souteli khala se muraad wo auraat hai jo aap ki maah ki bahn ho aur donoo k baap aur maa(waldain) same hon , ya baap same aur maa alag ho, ya maa same aur baap alag ho to in teenoo suratoo mai wo aap ki khala hai aur in se shadi karna haraam hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mujhay aap say yah maloom karna hai k kiya phopho bateeji ki aik shaks k saath aik waqt main shadi ho sakti hai k phopho pahlay say nikah main ho aur thoray arsay k baad bateeji say b nikah kar lay thankyou
Answer: Phophi aur bhetiji donoo mehram hain aur in sai shadi haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Is Nikah jayaaz in masjid?
Answer: Jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335) Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: i am widow ihave 3 kids 13 11 10 years now involve in one person he like me but not talk about marry iwant keep him jayez relation but he dont how i agree him for marriege he has family should i marry him
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Aap os sai doosri shadi kar sakti hain magar iddat mukammal honay k baad. Aur aap ko kisi sai ijazat lenay ki bhi zaroorat nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: shadi se pahle kisi ladki ko shadi ke liye ladka uske ghar ja kar usko dekhna islam jayaz hai ?
Answer: Mard shadi se pehlay is aurat k maqamaat e husn ko dekh sakhta hai ya is sai hum kalam ho sakhta hai jis ka rishta lena chahta hai. Is bina per isi khatoon ka chehra, is k baal, gardan, haatheliyaan, pindliyaan, kalaiyaan aur is qism k maqamaat e husn ko dekhna haiz he magar shart ye he k is nazar ka maqsad jinsi lazzat hasil karna na ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 390 pg # 233) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam_o-alekum.kia nikkah phone pr kisi gawah or nikah namy k bagir ho skta ha agar ho skta ha to kia esi surt-e- hal ma esa nikkah jaiz ha? plzzzzzzz jawab dain.
Answer: Phone par nikah ho sakta hai q k nikah mai sigah parhna zaroori hai chahae phone par parhain ya samnay parhain laikin likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: I am a sunni boy, one shia girl and i want to marry each other. we decided after marry she continue shia practice. we want to marry with the consent of both family. Please tell us this marriage will be valid or not.
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Kisi gair shia sai shadi krna agar gumrahi ka khof na ho to sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 134,pg # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).