Question: kya ak sunni larki kisi ahle tashi larky se nikkah kr skti hai??kya ye jaiz hai ??
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaira k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Shia lerkay ka sunni lerki say or isi terah shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar koi nehas tareekh ho or raat main hamay nikkah karna ho tw ye theek hai ya nahi ya is nehas tareekh din ka kuch asar tw nahi hota ya is ka koi sadqa hota hai
Answer: Nikah k sighay perhna qamar dar aqrab ya jab chand mehaaq (chand ki akhri teen takeekhain jin main chand chup jata hay 27, 28, 29) me ho tu nikah karna makrooh he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: a.a mera sawal ha k agar larka larki ak dusry ko 3 bar kabul ha kah dain kalma taiba parh kar to kya nikah ho jata ha or kya ye jaiz ha
Answer: Jee nahi is terah nikah nahi hota hai aur kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya naabalig larki n larke ka nikkah hosakhta hai?? kuch log apne bachon ka nikkah karwadete hein jab wo chotte hote hein kia wo nikkah jaiz hota hai ??Quran Pak mein ese nikkah k lye kaha hai??
Answer: Baap aur dada apni na balig larkay aur larki ka nikah kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2340, 2374)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A/s kya islam me mama apni bhanji se shadi kar sakta h ? Our islsm me kin risto me sadi nahi kar sakta baraye kram bataye
Answer: Bhanji mehram hai aur os sai nikah karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: SALAM! ME EK LRKI SE SHADI KRNA CHAHATA HO NIKAH KRNA CHAHATA HO LEKIN USKI MAMA MAN NI RAHI HAI ME BHAG K NIKAH KR SAKTA HO
Answer: Aurat os waqt tak shadi nahi kar sakti hai jab tak k os ka wali shadi ki ijazat na dai dai aur os k wali os ka baap aur dada hain. Bag kar shadi karna jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341-42)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia sotaly mummany k sath nikah ho sakta hai.
Answer: Mumani aur sotali mumani q k na mehram hai is lie os k sath nikah ho sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: KIYA KANWARI LARKI SE PHONE PA CALL PE NIKAH KIYA JA SAKTA HAI OR USKE BAP OR DADA IS DUNIYA MEN HON LEKEN BHAI HO KIYA USKE BHAI SE IJAZAT K BEGHAIR NIKHA KIYA JA SAKTA HAI ? CALL PE LARKI OR LARKA KN SA SEEGHA PARHEN? WO ALFAZ BHI LIKHEN
Answer: Phone per nikha kiya jasakta hai, or bap dada ke zinda hone ki sorat main in se ijazat leni hogi bhai se ijazat lena zarori nahi, or nikah k seegon ke jaanne ke liye kitaab Tozeeh ul masail ya kitaab tuhfaht ul Awaam main dekye.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335 , 2341,2342 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: nikha he mutah/daimi vergin larki se karna jaiz hai sms k ariye? sahe hai
Answer: Sms per nikah nahi hosakta, chahe daimi ho ya mutah ho isi tarah chahe larki virgin ya bewah.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328). Update on dated 02-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kia islam mi sootaily mummani k sath nikah hosakta hai
Answer: Ager in ki talaaq k baad unki iddat katam ho chuki hai to jaiz hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2349 , 2475 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).