Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5988
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o alikum. Kia musalman or shia(ahl-tashi) ky darmian Nikkah Jaiz hy?

Answer: G han jaiz hai lekin agr shia musalman ko gher shia muslim se shadi karne men apne eeman or aqeede k badalne ka khoaf ho to shia musalman k liye wo shadi krna jaiz nahi hogi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 02-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 5999
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam i wana ask like im a syed can i marry i non syed man but his a muslim but diffrent cast his rajja cast but i like him i need help plz can u hep me thank you

Answer: Yes you can be married with shia geer-syed boy.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 02-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6008
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir i want to ask you. k kia islam bradri k bahir shadi krna jaiz ha.agr nhi to konsi ahadees ha jo is jahliat ki soch khtm krna ma mdad day. mhrbani farma kr wo ahadees mujay hwala k sath jwab di jiay ga. shukriya

Answer: Muslman, muslman ka kafo(barabar, manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai isi lie Islam mai aik musalman ki doosray musalman sai shadi ho sakti hai is mai bradri ka koi amal dhakl nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6017
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah k waqt ladki ne kabool hai awaj se aur nahi mann me kahh nikha hoga ya nahi

Answer: 1)Nikah me shart ha k (makhsoos) alfaaz k zaria eijaab aur qabool kiya jaay. aur koi bhi amal eijaab k qaim maqaam nahi ban sakta. (lehaza alfaaaz ada karna zaroori hai) ..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 245 masla #439) 2)Ehtiyat e wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me perhai jaay agar khud mard aur aurat arabi mai na perh sakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Maslan phele mahar moiiyan karne k baad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai.aurat agar pele se shadi shuda na ho (yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho) to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6085
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ladki ke maa baap ki marji ke bina nikah kar sakte hain....

Answer: Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka wali yani Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6086
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ash salam e lakum mera shawaal hai ki kya nikaah ke dauraan wajau me rahena jaruri hai ya nahi.

Answer: Jee nahi nikah k doran ba-wazoo hona zaroori nahi hai aur na hi mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2427)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6116
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager koi larki 15 saal ki age main zina kry lakin olad pyda na ho. To islam esi larki k mutalik kia ehkamat dyta ha. Kia esi larki se nikah jaiz ha?

Answer: Mard ko chahae k jis aurat sai shadi karna chahta hai os me un sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6124
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ma ne or mere bf ne ek software pe group chahting ma 2 logon ki majodgi ma hauq mehar k sath ek dosre ko nikah ki niyat se qabol kiya tha tu kya hum ma nikah ho gya ha ?//plz mjhe mere is swal ka jwab den jaldi meri es email id pe bht meharbani

Answer: 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341) 2)Nikah me shart ha k (makhsoos) alfaaz k zaria eijaab aur qabool kiya jaay. aur koi bhi amal eijaab k qaim maqaam nahi ban sakta. (lehaza alfaaaz ada karna zaroori hai) (ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 245 masla #439) 3)Ehtiyat e wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me perhai jaay agar khud mard aur aurat arabi mai na perh sakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Maslan phele mahar moiiyan karne k baad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai.aurat agar pele se shadi shuda na ho (yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho) to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6151
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat Sb men pasnd ki Shadi krwana chahta hn us men Rakawt dur krny k ley men kia kro. plz mjy btay k men krwa lo pasnad ki shadi apni kazn sy. abu ami ka irada hy magr sister ka irada nae lekn men chahta hn us sy he hu.

Answer: Nikah ki shariat mai sai hai k shohar aur biwi dono shadi k lie razi hon. Aur agar larki razi na ho to nikah sahi nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6160
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya balig kunwari larki parents ki ijazat k baghair nikah kr sakti hai? syed larki ghair syed se nikah kr sakti hai? aur kya daimi nikah baghair gawahon k ho sakta hai?

Answer: 1)Balig aur bakra larki ki nikah k lie apnay wali ki ijazat zaroori hai. Aur wali sai murad baap aur dada hai maa aur bhai nahi. 2)Syedani ka gair syed shia mard sai nikah bila ishkal jaiz hai is lye k muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai aur momineen aik doosray k kafo hain. 3)Daimi nikah mai gawah ka hona mustahab hai wajib nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Imam Khomeni(r.h), Tehreer ul Waseela Part # 3).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!