Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6163
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talak shuda aurat agar hamesha akeli rehana chahti kya ye jayaz hai .agar dubar shadi kare bi to use kubul na ho to

Answer: Jo shakhs shadi na krnay ki wajah sai apnay aap ko fail e haram sai na bacha sakay os par shadi krna wajib hai. (warna dobara shadi karna wajib)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385,397 pg # 231,234) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6200
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ghair syed shia larka syed shia larki say shadi kar sakti har? Please reply in detail

Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6215
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ek syed zadi larki ka nikah gher syed xe jaiz hai quran xe saboot do or ............masomeen a.s k hawale xe saboot do.?

Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6287
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ham aik dosre se mohabbat krte hain, nikhah ke accept ke sath sath reh rahain to kia nikha zarori he agar zarori he to kia ab nikha karne se gunah ke murtakib hain ya toba karne allah maaf kar dega Kind reply in detail

Answer: 1)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak phounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtilla honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) 2)Nikah mai shrt ye hai k kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah dai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-2). 3)Surah e ahzaab surah # 33 ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6342
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualekum. sir kya main apni umar se 1 ya 2 saal badi ladki se nikah kr skta hu???

Answer: Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6366
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.a,to all.Mohtarm ap sa ya pochna chahti hn kya ehle sunnat lrki r ehle tasshe mard ki shadi jaiz ha.kindly is sa mulaq mjha thori guideline dn. Apki behad mashkor hn g. w.salam.

Answer: Agar gumrahi ka khof na ho to nikah sahi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, pg # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6384
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: To Phir kya us ladki se tauba krne k bad Nikah Jaij hai

Answer: Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6421
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A SIR mera sawal hai k agr larka chota ho or larki bari ho us mai larki kitne saal bari honi chaia larke se shadi krwane k lia plz ans dyna lzmi

Answer: Shadi main umar ki koe sharti nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6423
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Are witness necessory in shia nikkah

Answer: No, It is not . (Ref: Ayatullah bashair (d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2372 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6427
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya napaki ki halat me nikah jayaz hai?

Answer: Jee haan,Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!