Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6456
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye h kya baap k chacha zaad bhai sy shadi ho skti h?r kn kn log na mehram hyn fmly me? Nabi pak ny b apni beti ki shadi chacha zaad bety sy ki thi?

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Jee haan, chachazaad bhai se shadi ho sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6463
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can girl from Sadaat family marry a boy from Non Sadaat or Sunni family

Answer: 1)Shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2)Musalmaan merd musalmaan aurat ka kufu(equal) hay or momin merd momin aurat ka kufu(equal) hay. Layhaza arabi ki ghair arabi se shadi ho sakti hay, syed ki ghair syed se ho sakti hay, is terah shareef or aonchay gharano k afraad ki shadi jharho dainay walay afraad se ho sakti hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #221) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6470
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera sawal ye h k meim apni lover sy boht payar karta ho or larke mujhe payar karte h wo humary rishtidr h larke k ghr waly razi ni ho rahe to us mein galt kis ke h or kia hum 2no bhag k shadi kr sakhte h. Or un k ghr walo ke galte h ya hum 2no ke

Answer: 1)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) 2)Jo shaks surae taha surah#20 ko likh kr green reshmi kapray mai lapait kr rakhay aur shadi k iraday sy kisi k paas jaey tu usay na kaam nahi lotna parayga.(ref:dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal,pg#18). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6502
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mri shadi hori h mra fiunce bht larta h mujs r shadi k bd ki zulm krne ki warning dta h plz kuch help kre mri

Answer: Aurat or os k wali(baap/dada)ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6509
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alekum.. Kya shadi se pehle apni biwi se sex karna munasib hai

Answer: Nikah sai pehlay mangetar na-mehram hai. Aur is sai sex karna zina kehlay ga. Aur zina haram hai is k alawa agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6513
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir mera masla ye hai k me jis larki se shadi kerna chahta hun us ka walid bank me nokri kerta hai.. Islamic point of view se is larki se shadi ker jaiz hai ka nahi ?

Answer: Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6522
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: rukhsati say phely kya nikah najaiz hai or agr jaiz hai b to or nikkkah hojata hai to larki ko 1 year k lye us k ghar chorna gunha hai ?

Answer: Rukhsati se phele nikah karna jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part #4, ques # 142, pg # 69) Update on dated 05-01-2016. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 6576
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Either it is allowed to marry syeda girl with Non-Syed boy?

Answer: Yes, it is allowed.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 08-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey

Id: 6580
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o Aliukum! I have a question that can a non-believer(kafir) read the nikah of muslim(boy and girl) or not???? plz respond me as soon as possible.... Allah ap ke taufeqat main izafa kary... ameen

Answer: Agr wo kafr sahi islami tareeke se nikah parha sakta hai to jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1266, Eidition 1417 hij). Update on dated 08-01-2016.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 6583
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam.kya nawkre kai bagair shadi karna sahe hai

Answer: Jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!