Question: kia cuzn (female) ki beti ke saath nikah ho skta hai ???
Answer: G han hosakta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349).Update on dated 06-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agr kisi larki ki kisi aur tariqe se ab virgin nahe rahi ( seal khul gau ) aur wo toba karle to kya us se mutaah kar sakte hy ?
Answer: 1)Jo larki baligh ho or apna bura bhala samjhti ho agar wo shadi ya muta kerna chahe or kunwari ho to usay chahiay k apne baap dada se ijazat le, bagher unki ijazat k nikah chahe muta ka ho shadi ka ho jaaiz nahi hia, (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail,33rdedition,msla#2341) 2)kunwari se muraad ye hay k jis k sath os k shohor ne humbistari nah ki ho. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #70)
Question: Kya Ek SyedZadi ka nikah ek Non Syed Se ho sakta?
Answer: Gee haan jaiz hai syed zadi ka non-syed se nikah ho sakta hai isi tarah larka syed ho to wo bhi non-syed larki se nikah ker sakta.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaj-ul-saliheen,1st edition,msla#221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal ye hai k kia.. aik shia larky ki aik syed larki sy shadi jaiz hai.?? larki bhe shia syed ho.. jaiz hai ya nhe.. plzzz mjhy jaldi bta deejiyee ga.. hawala or logic k sath
Answer: Gee haan jaiz hai, syed zadi ka non-syed se nikah hoskta hai isi tarah larka syed ho to wo bhi non-syed larki se nikah ker sakta.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaj-ul-saliheen,1st edition,msla#221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia larka larki ek dusryko sachy dil sy ALLAH k samny qabool karny sy mian bv bn jaty han?
Answer: G nahi ye jaiz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341).Update on dated 05-01-2016. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Assalam_Ualaikum Mai janna chahta hu ki Agr mai apne dosto ka nikah krwana chahta hu nina walid walidain ke to kya ye jayj hai Aur hai to Ye kaise hoga aur kya Kya padha jata hai plz btaye
Answer: 1) Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi (mutah) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay. Aurat aur mard ka faqat razi hona kafi nhi hai. Aur gawahoo ka hona zaroori nhi hai is k alawa mehar ko tay krna zaroori hai. 1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(yani muta) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335) Agar merd or aurat khud ghair daimi nikah(muta) ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma
Question: kya geer muslim larki sy shadi ke ja sakti ha ? islam may kya hukam ha ?
Answer: G nahi ye jaiz jab tak k wo islam qabool na karle.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362).Update on dated 05-01-2016. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Aoa, Im am 22 years old Sunni but i love a Syed Shia Girl. is it possible the marriage of a syed girl out of sadat? Its answer will be ur kindness.
Answer: Muslmaan muslman sy shadi krsakta hai chahay lrka shia ho aur lrki sunni ho ya lrka sunni ho aur larki shia ho is sy koi faraq nahi parta. Al-batta baaz afraad jo ehlabait a.s sy dushmani rakhtay (Jese nasbi) hain aur apnay aap ko muslmaan smjhtay hain,wo kafir hain aur un sy shadi nahi ho sakti. Lekin agr shia larke ya larki ko is bat ka darr ho k agr wo sunni se shadi krenge to apne deen se bhatak jaenge to is surat men unka sunni mazhab wale se shadi krnma jaiz nahi hoga. (Ref: Ayatullah_Sistani(d.b) Minhaj_ul_Saliheen, Part#3, Masla#215) (Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye)syed ka nikah gair syed sy hosakta hai,chahay lrki syed ho chahay lrka syed ho,is sy koi faraq nahi parta.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3,masla #221)
Question: mai yeh pochna chahta hn k mai eik adopted bacha h or jab mera Nikah hoa tu us waqat mere adopted baap ka naam bola gya tha meri waldiyet k sath tu kia mera Nikha hogya hai mere sab ID per mere baap ka naam hai
Answer: Nikah Sahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335).Update on dated 02-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kya nikah k bad larka larki mil skty hn. or kis hadh tak taluq rakh sakty hn. agar rukhsati na hui ho sirf nikah hua ho.
Answer: Agr Riwaj yhi ho k jb tk rukhsati nahi hoti us waqt tak larki apne ap ko apne shohar ke liye pesh nahi karti, is tarah se k goya ise ek zimne shart samjha jata ho to apne ap ko pesh karna wajib nahi hai.(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72) Update on dated 02-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)