Question: asalam.o.alikum meny kahi sy suna h ky agar ap kisi larki ko galt niyat sy mashallah kahy ya galt niyat sy deahkyto nikah wajib ho jata h plzz mujhy es ka jawab dy di ap plzz
Answer: G nahi aysa nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # Before Masla-01, Eidition 1417 hij).Update on dated 02-02-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Sallam aga mera sawal ye h ke agar kisi ourat ka shohar mar jaae to kya wo shohar k bhanje (behen ke bete ) sy shadi kar sakti he? Plz rply
Answer: G han ijazat han. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349). Update on dated 02-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Nikah k baad jab k rukhsati nahi huwi ho kia mia biwi sex krskte hai? Agar krskte hai tou usse pehle namaz prhne ka hukum hai?
Answer: 1)Sigha nikah k zaria mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale taluqat qaim ker sakte hai) .(nikah k baad rukhsati hona zaroori nahi hai). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328) 2)Agar Riwaj yahi ho k jab tak rukhsati nahe hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay sohar k lie paish nahi karti, is tarah sai k ise aik zimne shart samja jata ho to phir aurat k lie nikah k bad rukhsati se phelay sohar k lie apne aap ko paish karna wajib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Mustahab hay k shab e zifaaf(dulhan k rukhsati ki raat) hambistari se pehle 2 rakat namaz perhi jaay .(yani hasband or wife dono namaz perhain).
Question: Kya shia ladki ka sunni ladke se shadi karna jayaz hai.
Answer: Shia larka nasibiyon k elawa dusre sunni firqon ki larki se shadi kr sakta hai, albatta agr us shia larke ko apne deen se gumrah hone ka khoaf hoto phir ye shadi krna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij) Update on dated 12-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia mery bhai ki shadi apny chacha zad bhi ki beti ke sath ho sakti he ya nai ,es ka jwab mujhy mail kr dy paleeeeeeeeez.
Answer: Merd k liay apne Haqiqi bhai ya behen ki baiti(bhatiji ya bhanji) se nikah kerna hat=ram hay Q k ye oski mehram hain Laikin chacha zaad , khala zaad or mamo zaad bahi ya behen ki baiti se nikah kerna jaiz hay or ye merd k liay na-mehram hay . (Ref:Ayat Ullah basher najafi(d.b), almustafa deenul qayyum, pg #271) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam g mera sawal yeah hae k kia Ek shadi shuda aurat islam ki rooh say kia kisi ki londi bun sakti hae jab k ous ka shoher bhi mojood ho kia is bary may shoher ko ilm hona lazmi hae?
Answer: Aaj kal londi or ghulam ka wujood hi nahi hai or isi liye in ke ahkam bayan nahi hote.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1417 hij). Update on dated 01-01-2016.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Kaya husband wife ka jism dak skta ha or kiss kr skta hai or wife apna husbnd ka dak skti ha kiss penis suck kr skti hai husbnd bbrest suck kr skta ha
Answer: Jee han husband wife aik dusray ka pura jism daikh saktay hain,isi trha donu apnay jism k kisi bhi hissay sy dusray k badan k kisi bhi hissay ko touch kr saktay hain,lihaza kiss krna,penis aur breast suck kerna jaiz hai. Albatta zarori hai k liquid halaq sey nechay na utray.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla#11 and email received frm sistani.org)
Question: please mujhe yeh batae key mey shadi shuda hou aur mujhe eik christian larki pasand hein aur us larki ka eik boy friend bhi hein to hum mutah karsakte hein aur agar nai to us ka kya solution hein
Answer: Ehtiyaat-e-wajib ki bina par musalman biwi k hote huwe christen say mutah nahi kiya jaskta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362). Update on dated 01-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: apni behan k sth sex kea h or mani bhr nikali h shadi krny ka b dil kr ra h kea is bary m btayen or agr koi kufara h to wo b btayen
Answer: Behn k sath nikah haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335)Update on dated 12-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam wailaikum janab mera sawal ye hai k ager larka or larki sirf zabani allah tala ko hazir.o.nazir jan k ek dusarey ko miyan biwi qubol karlain to kiya ye nikha jayez hai ya nahi hai
Answer: G nahi is se nikah nahi hota.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335)Update on dated 12-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)