Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6892
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslk mera sawal hai kya shia ladki sunni ladke se shaadi kar sakti hai.

Answer: G han kar sakta hai albatta makrooh hai, lekin agr suuni larki ko apne mazhab or eeman k bigarne ka khoaf ho to phir jaiz nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 08-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 6893
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamoalaikum kya ek balig mard auret nikah. ke bgair do no ki marzi raZamandi se ek dusre ko apna shoher biwi manker sath reh senate hain ?

Answer: G nahi ye jaiz nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335) , (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430).Update on dated 05-01-2016. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6902
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr kisi larki k sath rishta pakka ho jaye zabani kalami laikin nikah na hwa ho tou aik dosre se baat karna jaiz hai????

Answer: Agr Lazzat k irade or haram men mubtala hone ka khoaf na ho or kisi burai ka baais na bane to koi harj nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Nigah or Libaas, Edition# 02(2012), Mofhoom Jawab # 77, Pg # 54).Update on dated 18-02-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 6946
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam.... me ek sunni larky ko pasnd krti hn or mjy maloom hy mere parents ni mane ge or wo larka shia ni ho skta... kia me us se phir b shadi kr skti hn????

Answer: Agr walid razi nahi hen to shadi nahi hosakti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341).Update on dated 05-01-2016. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 6970
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me syed family se belong karti hoon mene hadi non syed larke se ki hy Islam ki roshni me bataen k yeh shadi sahi hy?? Actually bohat se log mujhe kehte hy k yeh hadi ghalt hy ek syed larki se gher syed shadi Nhe Kar sakta..

Answer: Jaiz hai Or shadi bhi sahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 08-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 6971
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kaya sayed zadi... mean daughter of sayed...ki shadi gair sayed se ho sakti hai

Answer: G han jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 08-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 6998
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: may shadi kiya tha aur talaq diya hain kay may wahi ladki sa dubara shadi kar sakta hoin

Answer: Ager orat iddat main hai or ap ne us ko talaaq e rajii(yani talaaq dene ke waqt us orat ki umar 9 saal se ziyada thi, or yaisa bhi na thi, or ap ne us k sath jima bhi kiya ho, or jo ap ne talaaq di hai wo ap ne bivi se liye howe peso k badle na di ho) de thi to ap us larki ki tarf rujoo(yani baghair sahdi k us ko apni bivi bana sakte hain) kar sakte hain masala koi esi baat ya kaam karain jis se zahir ho ke ap ne dubhara us ko apni bivi bana liya hai jese hambitari karna, or ager iddat khatam ho chuki hai ya di gaae talaaq hi talaaq rijee nahi talaaq e tabayun thi to ap ko us ko dubhara apni bivi banana ke liye nikha karna hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2486 , 2488 , 2492 ,2495 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7029
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr larka larki ek dosray ko bagher nikkah k husban wife samajhte hun .lekin unhun ne kbi sex nhi kia ho . mera sawal ye hai k unhon ne ek dosray se ejab o qobool to kr lia hai is soorat me kia wo waqae husband wife hen?

Answer: Agr nikah ki baqi sari islami sharton ka lihaz kiya jaye to phir nikah hosakta hai, misal k tor per larki k walid ka nikah se razi hona, nikah k bol (alfaz) arabi ya agr arabi na jante hon to kisi or zaban men mgr ayse alfaz k jo arabi k alfaz k mana men hon, etc, lekin agr sharten puri na hon to nikah sahi nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7042
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ye zaruri hai nikah ke baad sex karne k baad hi valima kare,aur kia nikah koi karif se hoga

Answer: G nahi ye zaruri nahi hai, or is se nikah per koi faraq nahi parega. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 04, Eidition 1417 hij). Update on dated 05-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7064
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Alaikum, men ye pochna chahta hon k agr larka or larki apni marzi se ya marzi k begair(agr kisi se zabrdasti kiya jay) zina kren, tu kya ye apis men ya kisi or se shadi kr skty hn? kya inka apis ,en ya kisi or se shadi krna jayz hai?

Answer: G han agr ye dono ger shadi shuda hen to inka apas men or kisi or k sath bhi nikah jaiz hai, albatta agr ye apas men nikah krna chahen to ehtiyat e wajib ki bina per jab tak wo larki is gunah se toba na karle wo larki is larki se shadi nahi karsakta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2364). Update on dated 05-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!