Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7068
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shia aur sunni aapas mein shadi kar sakhte hai?

Answer: Agr shia mard or aurat ko apne shia mazhab k tabdeel hone ka khouf na ho to sunni se shadi kar sakte hen, lekin phir bhi aurat k lye shadi karna makrooh hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 05-02-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7076
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ma ya pouchna cahta hun k kya Allah pak ko hazir nazir rak kr Larka Larki Nikah kr skty han? sachy dil sy hazir nazir rak kr kr skty hn nikah?

Answer: Agr nikah ki sari sharait ka lehaza kiya jaye, misal k tor per larki k wali (bap ya dada) ka nikah se razi hona e.t.c, to phir larka or larki apna nikah khud parh sakte hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2335).Update on dated 05-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7083
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sahib main ne aek ladki se sex kia aur main us k sath shadi karna chahata hun kay vo theek rahe ga aur kya use mujhe gunah maaf hoga

Answer: Agr ap dono is gunah se toba karlen to ap ki shadi hosakti hai, Albatta Ehtiyat e wajib ki bina per larki k toba karne se pehle shadi nahi hosakti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2364).Update on dated 05-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7088
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal hai k meray baray bhai ne chilhood mai meri choti khala ka dodh piya tha . aur same meri choti khala k baray betay ne meri maa ka dodh piya tha.. SAWAL ye hai k kya mera rishta meri khala ki beti jis k sath jaiz hai ???

Answer: Agar koe aurat kise larke ya larki ko sharhi sharait k mutabiq doodh pilaye to wo (larke ya larki ) khud is (doodh pilane wali) aurat aur is ki aulad ka mehram banjata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2428 ) Agar kohe aurat aik bacche ko doodh pilaye to aurat k rishtadaar is bacche k bhai behno k mehram nahe bante. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2431 ) Lehaza ap uslarki se shadi karsakte hai q k wo ap k liye na_mehram hai , halanke apk bare bhai k liye mehram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, before maslah #2328 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7102
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir Hindu she shadi krna jayz he k ni

Answer: G nahi jaziz nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362).Update on dated 05-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7109
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ak admi ka nikah ak tlak yafta aurat say hota ha us aurat ke ak bati ha jo apnay bap k pass ha.ab us aurat ko tlak ho jati ha.wo admi us aurat ke bati say nikah karna chata ha.is ke kia soorat ho ge

Answer: Agr us aadmi ne us talaq yafta orat se shadi k bad hambistari ki thi to ab wo us orat ki beti se nikha nahi kar sakta q k ab us orat ki beti us admi ki mehram bangai hai albatta ager hambistari nahi ki to is orat ko talaq dene k bad uski beti se is surat men nikah kar sakta hai k us larki ka haqeeqi walid is nikah se razi ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2351-2352).Update on dated 05-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7113
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o alaikum... Ager larki khud kahay k mujhay ap as Husband qabool ho qabool ho qabool ho our wo Balig our mature b ho and mard say b kehlwaye k usay b wo larki as wife qabool hai... To kia Nikah ho jaye ga???reply must...

Answer: G nahi ye jaiz nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341).Update on dated 05-01-2016. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7122
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Muslim ki shadi Hindu se jayz he

Answer: G nahi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah # 2362). Update on dated 14-07-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7137
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mjhe ek ladki bht love krti hai aur mai bhi use bht love krta hu..ladki ka relegion sindhi hai..aur ham ek dusre se shaadi krna chahte hai..ladki ko muslim relegion bhi pasand hai..ghar waale raazi ni ho rahe dono ke

Answer: 1)Lazzat aur Shak ki Niyat se Aurat ko Dekhna Haraam hay (Lazzat se Muraad Shehwat ki Nazar se Dekhna aur Shak se Muraad Haraam me Mubtila Honay ka Khof ho (Ref: Jadeed Faqhi Masayl Ayatullah Sistani d.b Masla#458 pg#253) 2)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 2341) 3) Jo shaks Surah e taha surah#20 ko likh kr green reshmi kapray mai lapait kr rakhay aur shadi k iraday sy kisi k paas jaey tou usay na kaam nahi lotna parayga.(ref:dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal,pg#18). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7145
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya larka or larki akele Allah ko gwah bna kr nikah kr skty? kya aese nikah ho jay ga?

Answer: Agr larki k walid ki ijazat hai to nikah sahi hoga lehaza un ki ijazat k bger nikah sahi nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah # 2341-42). Update on dated 14-07-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!