Question: mai ek ladki ko pyar karta hu wo bhe mujh se pyar karti hai. lekin uski nikah ho gaye hai , ky wo bina kisi ko bataye hum nikah kar skate hai , ky ye zayez hai
Answer: G nahi ye haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Kisi ki shadi na hua ho or wo kisi ko dil sy apna shohar maan k us sy bat karai haram hai????
Answer: G han nis niyat se bat krna haram hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2330).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Main aik boy se love karti hn paka love us ko apna sohar manti hn agar wo mujhy camere par bageir kaprun ke dehky aur main usko dehkun tu lekin koi discharge nai hn tu kya gussal wajib hta hai ya nai plz ans de dein
Answer: Agr discharge na hon to ghusal wajib nahi hota. Albatta shohar man lene se koi shohar nahi ban jata lehaza bager nikah k is qism ki jinsi lazzat hasil karna haram or gunah e kabeera hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-344)(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij)Update on dated 05-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kia 1 larki ka nikah bagar divorce k 2 dafa 1 he banda sa hou sakta. like 1st nikah chupa k kia hou and second family wala usi larka c karvai. per 1st nikah ka na pata hou. or na batana chata hou
Answer: Pehla nikah sahi nahi hoga lehaza dusra nikah sahi mana jayega, q k wo larki k wali (bap ya dada) ki iajzat se hua hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 23-01-2016.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kai islam ki roh se aik randowa admi ka aik kunwari larki se shadi karna jaiz hy?
Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: salam mera sawal ye hai k main js sy shadi karna chata ho wo shea hay maslaq alag hai tw kia shadi karna jaiz hai? ??
Answer: G han jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 05-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Aslam-u-Alikum , mera ye sawal hai k main ne pehly ghar walon ko btae baghair court Marriage ki thi bt ab ghar waly maan gay hain to kya hum dobara nikah parhwa sakty hain ghar walon k samny? hamary ghar walon ko Court marriage ka nai pta plz reply me???
Answer: Gee han apko nikah krna zaruri hai q k islam k hawale se court k nikah ki koi ahmiyat nahi hai, or jab tak nikah ki islami sharait k mutabiq nikah na ho tab tak ap dono ek dusre ko miyan biwi nahi samjh sakte or na hi ek dusre ko mehrmana nazron se dekh sakte hen.(Ref:Ayat ul Allah Sistani (db) Tozeeh ul Masaail, Masla#2328 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam o Alaikum wrwb! Mera sawal ye hy k kia munh boli behan shadi jaiz hy?
Answer: G han jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349).Update on dated 06-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Asalam o Alekum Mujhe Muta Ka tareeqa or Muta Ki Iddat k barey me pochna ha.
Answer: 1)Nikah chahe daimi ho ya ghair daimi (yani muta) is main seegha (nikah k bool (alfaz) perhna zarori hay, aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah faqat (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hai, Aqd e nikah ki khuch shartain hain jin me se khuch ye hain k:- 1-Ehtiyaat e wajib he k nikah ka seeghah sahi arabi me parha jaey,or agar khud mard or aurat sighah arabi men na perh saktay hoon tu arabi k Alawa kisi dosri zaban main parh saktay hain or kisi ko vakil banana lazimi nahi hay. 2- sighah parhne wala aqal-mand ho or agar apne liay perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3- Merd or aurat or uska vakil sighah parhte waqt qasd e insha (nikah ka irada) rakhte hon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335).Or wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) 2)Gher Daaimi Aqad (Mutta) wo nikah hai jis men izdiwaj (shadi) ki muddat moayyan hoti hai, Misaal.. orat k sath ek ghante ya ek din ya ek mahine ya ek saal ya is se ziayada muddat k liay aqad kiya jaey, lekin is nikah ki muddat orat or mard ki dono men se ek ki aam umar se ziyada nahi honi chahiye q k is surat men nikah (mutta) batil hojaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # after the masla no # 2328). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya walid ki khala ki ladki se nikah ho sakta hai pelz mughe iska jwab de
Answer: Walid ki khala ki larki se nikah ho sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349).Update on dated 05-01-2016. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)