Question: aik aurat ne aik bachay ko feed kia ho to kya wo bacha us aurat ki photi ke sath nikah kar sakta hai??
Answer: Agr doodh pilane ki un tmam sharton k sath doodh pilaya hai jinse mehramiyat ka rishta ban jata hai, to phir us orat ki poti se shadi nahi hosakti q k wo us ki mehram ho jayegi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2428-2438). Update on dated 05-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kya ek ladka do bahan se shadi karsakta hai.kya ye rishta jaiz hoga sariyat se
Answer: G nahi ye jaiz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2355). Update on dated 05-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: slam/ my quation is.ager jis larki se sobat ho jae kea usi larka laki ka bad me us se nikha jaiz hai
Answer: Agr wo larki is gunah se toba karle to phir jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2364) Update on dated 11-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kia shia syed larka sunni larki se shadi kr sakta ha....
Answer: Shia larka nasibiyon k elawa dusre sunni firqon ki larki se shadi kr sakta hai, albatta agr us shia larke ko apne deen se gumrah hone ka khoaf hoto phir ye shadi krna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij) Update on dated 12-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya kisi wahabi larki k sath nikah jaez hy????
Answer: Shia larka nasibiyon k elawa dusre sunni firqon ki larki se shadi kr sakta hai, albatta agr us shia larke ko apne deen se gumrah hone ka khoaf hoto phir ye shadi krna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij) Nasbi wo log hen jo Tmam Imamon (a.s) se Bezari or Bughz ka izhaar krta ho, to aysa shakhs kafir k hukm men aata hai matlb najis hai or is se shadi krna jaiz nahi hai (agr wahabi bhi nasbiyon ka aqeeda rakhte hon to un ka bhi yehi hukm hoga) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 103).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).Update on dated 12-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: shia larki say sunni larkay ka nikah jaiz hay kia?
Answer: G han jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kia apny sy bht bri umar k lrky sy shadi krna thik hy? mtlb koi mushkil to ni ho ge?
Answer: G han jaiz hai. Albatta agr larki na-baligh ho to jab tk wo 9 sall ki na hojaye us se pehle us se jima (hambistry) karna haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349-2374).Update on dated 05-01-2016. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kya ak larka aor ak larki Allah ko hazir nazir kr k band kamre me nikah kr skty hn
Answer: Agr larki k walid is nikah se razi nahi hen to jaiz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341).Update on dated 05-01-2016. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Can a sunni molvni conduct nikah of shia man?
Answer: If all trem and conditions of nikha like sentence of nikah in Arabic etc (except the molvi is sunni) is exsist so it will be conducted. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: i m a shia girl of age 26. i want to marry a sunni man. Is it allowed? my parents are not accepting him. but there is no issue in his family. can i marry him widout my parents permission?
Answer: No it is not allowed. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 02-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)