Question: Assalamalaikum MERA SAWAL SIMPLE HAI KIA AK SYED ZADI KA NIKAH AK RAJPUT SE JAIZ HAI?
Answer: G han jaiz han. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 02-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: mera nikah 2 admion ke mojodgi may hoa hai jin main say aik court marriage conduct karwany wala tha aur aik molvi jo nikah perhanay wala tha.nikah nama par un gawahin k nam likhay hoay hain jo moqa par mojood na thay.mujhe bta dain k nikah valid hai k nhi
Answer: Agr nikah men islami tmam sharton ka lehaz ki jaye to jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kya lrka apna sa zyda umr ke lrki sa shadi kr skta ah?
Answer: G han kar sakta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2349).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: 3 banday ha 2 larkey r ek larki. larki r 1 larka ek dusre se pyar karte ha r shadi krna chahte ha lekn larki ki ghar walay larki ki marzi k baghayr uski nikah 2nd larkey se kara dete ha kia ye nikkah ho jati ha?
Answer: Agr larki is nikah se razi na ho to phir nikah nahi hota, lekin nikah ho jane k bad wo larka or larki nikah se razi ho jaen ya koi aysa kaam karen jo un k miyaan biwi hone per dalalat kare to phir nikah sahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2338-2339).Update on dated 10-04-2017.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam mera question ya ha ky kia aik larki parents sy pochy begair nikkah kr skti ha??
Answer: G nahi jaiz nahi hai. Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: ek lerki or ek larka phone p nekah k lefz ek dosre ko kah den toh kiya nekah ho jata he?
Answer: Agr nikah ki baqi sari islami sharton ka lihaz kiya jaye to phir nikah hosakta hai, misal k tor per larki k walid ka nikah se razi hona, nikah k bol (alfaz) arabi ya agr arabi na jante hon to kisi or zaban men mgr ayse alfaz k jo arabi k alfaz k mana men hon, etc, lekin agr sharten puri na hon to nikah sahi nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: assalamoalikum mera sawal yeh hay k kya kisi talak yafta larki sy nikah kia jasakta hay wali ki ijazat k bagair ?
Answer: Agar os talaq yaafta aurat k sath hambistari ki gae ho ho to os aurat ko dosri shaadi k lie baab ya dada ki ijaazat ki zarorat nahi hay. (Ref: Ayatullah khoie Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2386 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya main ek shadi suda aurat se Nikah kar sakte Jab ki aurat humse bahut pyar karti hai aur puritarah razi hai
Answer: Aisi aurat jo kisi shaks k nikah main ho, os se nikah karna haraam hai . (Ref: Ayatullah khoie Tauzeehul masail, maslah #2411 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: If a boys sucks breasts of a girl but no milk comes out can they marry eachother later?
Answer: Yes he can, but this act is haraam and gunaah e kabeera so do toba.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430) , (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2364) Update on dated 20-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Assalamu alaikum mera sawal ye hai ke mujhe Apni Sagi Maami ( maamu's wife) ki sister se pyar ho gaya hai kya islam is rishte me shadi karne ka ijazat deta hai..?
Answer: Wssalam o alykum,Agr apki mami ki behn kisi aytbar se apki mehram na ban rahi hon to phir apk liye shadi krna jaiz hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2349 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).