Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7660
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assllam O Allekum sir mera ye sawal he k agr ek shadi shuda larki se shadi ki jaye or woh umar ma bari ho to kya shadi jaiz he or kya shadi shuda larki se shadi kar skten hen...plz tell me in details.thankss

Answer: Shadi shuda se shadi krna haram hai. (Ref:Ayat Ullah khoie(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 07,Mafhoom e Maslah # 2411). Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7662
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mujhy yehi pochna tha k agr kisi lrki k sath zinah kiya ho, usi se phr nikah krne ja rhe hon to kch requirements hoti hain ya straigh away nikah kr sakte hain..?

Answer: Ager wo larki jis ke sath ap ne zina kiya hai Shadi se pehle toba na kare to ehtiyaat e wajib ki bina per nikah batil hai (nahi hosakta). pas dono apne is guhnaah ki waja se Allah Taala se toba karain.(Toba ka asal mafhoom ye hai k insan apne kiye hue gunah per psheman ho)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) Update on dated 07-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7683
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.A kya syed lrki ka nikah kisi or cast waly lrky sy ho skta h jb k lrky k gr waly razi ho or lrki k nhi pr phr b lrka lrki apni mrzi sy nikah kr ly to kya nikah jayz kya lrki apny husbnd k sth reh skti h gr walo ki mrzi k khilaf

Answer: Wssalam o alykum, ager larki ke walid ya dada nikah se razi na ho to nikah batil hai. Lekin agr wo razi hojaen to phir is syed larki ka nikah gher syed se jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2335 , 2341,2342 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7714
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mjy pochna tha k m js larky sy mohabat krti hon us ny phone pr kalma parh kr Allah ko hazir jan kr bola k m usy qabool hon 3 br aor m ny b aesa kia>to kya hamara nikah ho gaya hy?

Answer: Islami lehaz se ye nikah sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 01-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7724
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia apni bivi ki behn say nikah kia ja sakta hai or dono ko akhtay rakha jaa sakta hai?islaam or hadees k mutabic jawaab dain

Answer: G nahi ye jaiz nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2355). Update on dated 01-01-2016.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7741
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam kya phoopi ki ladki se nikah kar sakte hai?

Answer: Gee han kar sakte he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349). Update on dated 29-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7751
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr koe kawara larka or larki bgair ksi ki ijazat k apas me nikah kr chuke hon to us nikkah k baary me kya hukum hai?

Answer: Agr larki k wali (bap ya dada) is nikah se razi hen ya phir wo zinda nahi hen to nikah sahi hai, lekin agr wo zinda or razi nahi hen to nikah sahin nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42). Update on dated 29-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7753
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum mujhe ye puchna h ki do log apas me nikah krna chate h pr ldke k walid razi nhi h aur wo apas me contact bhi rakhte h to aise me un dono ko kya krna chahiye aur iska sbse zyada gunehgaar kun h

Answer: jab tak larki k wali (bap ya dada) razi nahi hote tab tk larki ka nikah sahi nahi hosakta. Agr islam k is hukm ki mukhalifat hui to larka or larki dono gunahgar honge. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42),(Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 29-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7755
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere 3 bivi hai a jaiz hai ky

Answer: G han jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 200, Eidition 1417 hij). Update on dated 29-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey

Id: 7766
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera swal ye hy k agr kisi larki k waliden uski shadi zbrdsti se krwai jae or bad me wo lrki talaq lea bghair apne pasnd pr shadi krne ki haq rakhti hy. Reply Must

Answer: Agr wo larki waqai shadi per razi na ho to is surat men ye shadi sahi nahi hai, lekin ager us ki pasand ki shadi per us ke walid ya dada razi na hon to wo apni pasand ka nikah bhi nahi kar sakti, or ager nikah kar le to wo nikah batil hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-42).Update on dated 29-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!