Question: aslkm:-meri age 28 hai,mai meri khala ki beti se mohabbat karta hu lekin wo mujh se 8yrs choti hai,kya mai us ladki se shadi karsakta hu.
Answer: G han shadi kr sakte hen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2474-2335). Update on dated 26-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: main ghr walon se chup k nikkah krna chahti hn kia main or jise main psand krti hn hm 2no bgair ksi gawah k qurran pe hath rkh k Allah or us k Rasool ko gawah man k nikkah kr skte hain kia aise humara nikkah ho skta ha?
Answer: Jee nahi ye nikah sahi nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2342). Update on dated 26-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agar kisi aurat ko talaq ho jaye to uska nikha kisi or sy ho par rukhsati na ho to talaq ho jaye to kiya us se pehla khawand dobara nikha kar sukta hai ?
Answer: G han kr sakta hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 520, Eidition 1417 hij). Update on dated 27-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Aoa sir kya razai behn Bhai ka nikah ho skta h????
Answer: G nahi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 106, Eidition 1417 hij). Update on dated 27-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASSALAMO ALAYKUM BA REHAMTULLAHI BABARAKATAHU, JANAB BATAIYA K KYA MAMU JAAT BHAI SE FUFI JAAT BHAN KI SHADI HO SAKTI HAI YADI HAI TO SAMAJ ISA GALAT KYU BATATA HAI OR YADI NA TO KYUN. JALDI BATANA IZZAR KA SABAL HAI
Answer: Jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2349).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Aslam o alekum School ki Ustani or student aapis ma nikah kar sakty hain?
Answer: Agr nikah islami tmam sharton ka lehaz ki jaye to jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kya syed larki ka nikkah sunni larke se jaiz hy?
Answer: Ager is larki ke deen o imaan main tabdeli ka imkaan ho to jaiz nahi hai wrna jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #1 , sawaal #134, pg # 70 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya aek hi husband se do bar nikkah ho sakta hy?
Answer: Agr pehla nikah sahi hai to dosra nikah phar to sakte hain lekin is ke pharne ka koi faaeda nahi hai. Or agr talaq k bad ka pooch rahe hen to agr talaq rijee hai tyo dubara nikah hosakta hai lekin aghr talaq baain hai to phir nikah nahi hosakta. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 2486 , Eidition 1430 hij). Update on dated 27-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agr me apne piyar k sath bhag jao maa baap se bina poche nikah kro molvi mera nikah pare to mera nikah hoga maa bap k bina
Answer: Jee nahi ye nikah nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2341-42) Update on dated 23-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: asalamoalikum...May nikah k bad apny husband say humbister ho sakte hun jab k mare ruksate nai hui sirf nikah hoa hay
Answer: Agr riwaj yehi ho k jab tk rukhsati nahi hoti us wqt tk larki apne apko shohar k liye pesh nahi karti, ( is tarah se goya isko ek zimni shart samjha jata ho k jab tak rukhsati na hogi tab tak hambistry nahi hoti ho) to phir larki k liye apne ap ko pesh karna wajib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72) Update on dated 30-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)