Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1767
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: YA ALI MADAD,MULANA SISTANI SAHIB is it permited in islam that a sayad shia girl marry with a non syad shia boy give me reply God bless u

Answer: Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-32).

Id: 1787
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam alaikum, janab main ye poochna chahta hun ki nikah ke waqt ladka ya ladki ke kisi ristedar ka hona jaroori hai .rishtedar ki gawahi na hone se nikah nahi hota hai kya.

Answer: Nikah k liay ghawahoon ki koe zurart nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335) Laikin kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1800
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ek pathan ladke se syed ki ladki shadi ho sakti hai?

Answer: Shia Sayed merd ka nikah ghiar syed shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1831
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main ek larki ko pasand karta hon aur main us se nikah karna chahta hon larki aur us ka baap raazi hai lekin larki ki maa razi nahi ho rahi hai us k liye main kiya karon plz help me

Answer: Larki ki maa ki ijazat zaruri nahi hai, ahr larki ka walid razi hai to nikah hojayega. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2342).Update on dated 02-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 1841
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Aik SYED SHia Lerka Aik GhairSyed Shia Lerki say Nikkah ker sekta hay ... Aayma(ASWS) k fermaan ki Roshnai mein Dallel dain ? Bohat Shukriya

Answer: G han jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). Update on dated 23-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 1915
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mara Dost ka masla yah Hai us ko Apni Bahan Ki Bati ki Bati say payar ho gaya hay wo us shadi karna chahta hay kia yeh Shadi zaiz hay ya Nahi please jawab forn daigay please

Answer: Note : Is website per fiqah e jaffari k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Behen ki baiti mehram hoti hay aur mehram aruto se nikah nahi hosakta. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 90). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1969
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, kiya koi shakhs aik waqt me 2 behno ko apne nikah me rakh sakta ha?

Answer: Agar koe shakhs kisi aurat se shadi karay to to chahae wo daimi nikah karay ya muta karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behen se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1977
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya shiya aur deobund ki shadi jaiz hai ager han to hawala dain.

Answer: Agar gumrahi ka khof na ho to jaiz he. Albatta ye faqat wohi loog ho saktay hain jo Ahl e Bait a.s. se dushmani rakhnay walay na ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, pg # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2017
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr 2 logu ki mojudgi mein nikah parhaya jae to nikah sakit ho jata ha chahe registration na b ho?

Answer: Nikah karney me gawahoon aur registration ki zurarat nahi he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2019
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: apnay sai zada age ki larki sai nikah jaiz hai

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Jee haan.Nikah main umar ki koe qaid nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!