Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1525
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr zina karnay ka boht dil machalta ho to kia khud larki sai nakkah larka kr skta hai aur phr hambistri kr skta hai?

Answer: 1) Aqd (nikah) k saath aurat merd per halal hojati hay or is ki 2 qismein hein. 1: aqd Daimi 2: aqd ghair e daimi (muqarrah waqt k lie nikah). aqad e daim wo hay jis mein nikah ki muddat moi’yan nahi hoti hay.or jis aurat ka is qisim ka aqd hoa ho daimi’ah kahte hein. aqd ghair daa’im wo he jis mein azdawaaj ki muddat moi’yan hoti hay maslan aurat k saath 1 ghante, ya 1 din ya ka ya 1 maheena ya is se ziyada muddat k lie nikah kia jay or jis aurat say is qisim ka aqd hoa ho osay muta or sigah ka naam daitay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha khumeni (d.b.) maslah# 2360 ki ki heading ). 2) jo lerki had e bloogh{yani chand k hisab say 9 saal mukammal ker chuki ho} ko pohanch gae hay or rasheedah bhi hay yaani apni maslaihat ki tashkees ker sakti ho, agar wo shadi kerna cahhay ab agar wo bakirah(kawari) ho tu ehtiyaat e wajib ye hay keh wo apnay baap ya dada say ijazat hasil karay. (Ref:Ayat Ullah khumeni(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2373).

Id: 1543
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya dono eid k darmiyan nikah jaiz hai

Answer: Jab chand bruj aqrab ya mehaaq me ho is waqt nikah karna makrooh he. Aur aulma ka kehna he k budh (Wednesday) k rooz aur har maheena (month) ki 3, 5, 13, 16, 21, 24, 25 ko nikah karna makrooh he. Jaisa k aulma ne ye bhi kaha he k raat ko nikah karna mustahab he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3 , ques # 109 , pg # 54).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1559
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: phone py nikah k motalik kia ahekamat hy nikh k wakat 4 gawah (2 lakri k or larky k ) agar larky k pass ho to koi masla to nahi ho ga thanks

Answer: 1)Phone k zarie agar baqia tamam shariat majood hoon to nikah karna sahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 108, pg # 54) 2)Nikah karney me gawahoon ki zurarat nahi he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335)

Id: 1570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can the Nikah be performed on phone in absence of the bridegroom in unavoidable circumstances

Answer: Yes,Nikah can be perform on phone with all marriage conditions although bridegroom as well as bride are not present at that time. Phone k zarie agar baqia tamaam shariat majood hoon to nikah karna sahi he dolha or dolhan ki maujoodgi zarori nahi hay. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 108, pg # 54 , Mihaajus Saliheen part#3, maslah#48).

Id: 1572
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kisi larky ne kisi larki se pehly zana kiya ho or bad m shadi bi usi larki se kar le jis se zana kiya ho to is k bary m kya hukam h islam m?

Answer: Is sawal k kahein pahlau hein 1) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) 2)Agar koi shakhs aik aisi aurat se zina karey jo raj’ee talaq ki iddat ghuzar rahi ho to ethiat e wajib ki bina per wo aurat us per haram ho jati he. 3)Agar kisi aisi aurat se zina karey jo mutaa ya talaq e bayen ya wafat ya wati e shabh ki iddat ghuzar rahi ho to bad me is k saath nikah kar sakhta he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2363 , 2364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 1581
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia aik shia mard majbore ke sourat ma aik sunni larke se suni tareeq pa nikah kar sakta ha?

Answer: Nikah perhanay ki chand shara’it hain.jin ka nikah perhanay walay ko khiyaal rakhna wahib hay: 1) ehtiyaat e wajib ki bina per nikah ka sighah(jumla) arbi zaban main perha jaay. 2) Nikah perahnay wala qasd e insha rakhta ho.(yani nikah perhanay ki niyat say sighah kahay). 3) Nikah perhanay wala zarori hay k aaqil ho(yani pagal nah ho.) or ehtiyaat e wajib ki bina per na-baligh bhi nah ho. 4) Nikah perhanay wala nikah k waqt merd or aurat ko moayyan(nominate) keray. maslan onka naam lay ya onki taraf ishara karay. 5) Merd or aurat k nikah per razi honay ka ilm ho. 6) Kanwari or rasheeda lerki k baap ya dada ka is nikah per razi honay ka ilm ho.balkeh agar lerki apni zindagi k kamo ko khud mukhtari k saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hay k baap ya dada ki ijazat li jaay. Agar in sharait ka khiyaal nah rakha jay tu nikah sahi nahi hoga (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2333-2342)

Id: 1642
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia shia or sunni k darmiyan nika jaiz hy.shia larka ho tou?

Answer: Agar gumhrahi ka khof na ho to sahih he. Al’betta ye nikah tabae tor per in’hein lagoon me se ho sakhta he jo AHL E BAIT a.s. se dushmani rakhne wale na hoon. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, pg # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1728
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya zana k bad nekah jaiz ha k ni ? or ager zina koi larka jis ki shadi nhe hoi or larki b shadi shuda na ho ? kindly give me feed back according to Quran References

Answer: Is sawal k kahein pahlau hein 1) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta. 2)Agar koe shakhs aik aisi aurat se zina karay jo talaq raj’e ki iddat ghuzaar rahi ho to ethiat e wajib ki bina per wo aurat us per haram ho jati he. 3)Agar kisi aisi aurat se zina karey jo muta ya talaq e baa’in ya wafaat ki iddat ya wati e shubah ki iddat ghuzaar rahi ho to baad me is k saath nikah kar sakhta hain. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2363 , 2364). Was-salam

Id: 1753
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alikom,mara sawaal hai k sunni tariqa ka nikkah or shia tariqa nikkah mai kya farq hai

Answer: Sunni nikah to parha ja sakta hai magar shia tareeqay sai parha gya nikah hi sahi ho ga. yani sunni nikah krnay k baad larki halal nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-44)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 1761
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamualekum, I am A syed Shia Married to sunni girl my Nikkah was been done by the Moulana Of Sunni sect, My question is my Nikah with this is girl is okay in islam Plz advise. Regards,

Answer: Sunni nikah to parha ja sakta hai magar shia tareeqay sai parha gya nikah hi sahi ho ga. yani sunni nikah krnay k baad larki halal nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-44)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!