Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9913
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muta kis se Jaiz hai?

Answer: Jis say nikah e daimi jaiz hay us say muta bhi jaiz hay or ehl e kitab say nikah e daimi jaiz nahi hay lekin muta jaiz hay or jis mard k nikah men muslim aurat ho wo apni biwi ki ijazat k baghair ehl e kitab khawateen say muta nahi ker sakta hay or agar biwi ki ijazat ho to bina bar ehtiyaat jaiz nahi hay. Ref:(https://www.sistani.org/urdu/qa/18551/). Update on dated 30-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9981
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muttah ki muddat bakhshne ke liye kya karna hoga? Kya padhna hoga?

Answer: Bas yeh kehna kaafi hay k main baqi muddat bakhshta hoon. (Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, part# 03,Mafhoom e Maslah #575 ). Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10098
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar muttah kiya ho aur larki ki passand na ho tou jahiz hai? agar muttah khtm karna ho tou koi ayat parhni hoti hai?

Answer: Agar mutta kartay waqt larki raazi thi to mutta sahi hai or mutta men talaq nahi hoti balkeh muddat poori honay say khatam ho jata hay ya larka baqi muddat maaf karta hay, muta ki mauddat bakshne k liay ye kaafi hay k larka ye kahe keh main aap ko muta ki muddat bakhsta hoon tu is tarah kehne se muta khatam ho jaey ga or larki ko qobool karne ki zarorat nahi hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #575 ). [Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10099
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: muta kaise toota hai? larki ya larka kn torta hai? agar ek raazi nhi ho torne ke liye tou kaise tora gaye?

Answer: Mutta men talaq nahi hoti balkeh muta muddat poori honay say khatam ho jata hay ya larka baqi muddat maaf karta hay lekin larki khatam nahi kar sakti.muta ki muddat bakshne main larki ka raazi hona zarori nahi hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #575 ). [Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10108
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya mutah k liye molvie, ya ksi wakeel ka hona zrori h, ya lrka lrki khud b parh skty hen?

Answer: khud bhi parha jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2334). [Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10151
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I am engaged to a virgin girl. Is it permissible to do mutah with her without permission of her father if I don't have sexual intercourse with her at all. Just to talk to her and express love

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat ly .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341) [Updated on 06-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10652
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia esi aurat k jispe ghusl e janabat pehle se wajib ho oska mutah karna jaiz hai?

Answer: Jee agar deegar sharait moujood ho tou nikah/mutah kia jaa sakta hai. (nijasat ki haalat mai na hona) nikah ki sharait mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2335). [Updated on 06-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10812
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya biwi ki bewa behan sa mutah karsaktey hain?

Answer: jab tak aap ki bivi aap k nikah men mojood hen tab tak aap apni saali se muta nahi ker sakte.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2355). [Updated on 26-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10914
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat mutta nikah ko khatam kr sakti hai? Agar admi usay mutaah ka baqi waqat na bakhshna chahay aur aurat us nikah ko khatam karna chahay to usay kya karna chahiye?

Answer: Aurat muta ki muddat nahi baksh sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2473). Update on dated 13-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 11073
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia bv ke saath hotay huay apni hamsai bewa muslim se mutah jaiz hy ??

Answer: agar iddat khatam ho gayi hai to jaiz hai. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla # 2365). [Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!