Question: A muslim man already have muslim wife. Men also to do Mutah with girl Ahlulkitab as before married he was with same girl Ahlulkitab. What is terms & conditions?
Answer: For a Muslim man to marry a woman from Ahlul Kitab permanently is against the compulsory precaution in any circumstance. And his temporary marriage to a Jewish or a Christian woman is allowed, only if he is not already married to a Muslim wife. If he has a Muslim wife, temporary marriage with an Ahlul Kitab woman is not permissible without her consent; nay, even with her consent, it is not permissible, based on compulsory precaution. (Ref: http://www.sistani.com/english/qa/01245/ ). Update on dated 07-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar esi aurat se mutah kiya jae jou 2 mahene phele kisi k sath hambistiri kar chuki ho tou yeh amal zina khelaega yah jaez ?
Answer: Zina kerne wali aurat k sath muta jaiz hay, laikin jab wo zina main mash,hoor ho tu ehtiyaat e lazim ye hay k os se oski tauba k se pehle muta nah kia jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #261 , Eidition 1427 hij). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya shadi shuda aurat sy mutah jaiz ha?
Answer: jaiz nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2411). Update on dated 25-08-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam, ager kisi larki sey mutah kiya jaye or mutah ki muddat khatam hojaye or ushi larki sey dobara mutah karna ho tou jaoz hai ya nahi?
Answer: Merd ye ker sakta hay k jis aurat k sath os ne pehle muta kia ho or abhi oski iddat khatam nah hoe ho ho, os se daimi nikah ker lay ya dobara muta ker lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396). Update on dated 16-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam. Mera sawal tha k kia christians sy mutta kia ja skta hai?
Answer: 1)Muslman mardoo ka ahl e kitab(yahoodi aur christian) auratoo sai mutah krnay mai koi haraj nhi hai lekin agr us masalman mard ki koe musalman biwi mojud ho to phir muslman bivi ki ijazat se bhi ehtiyaat e wajib ki bina per ehl e kitab se muta jaiz nahi hay. 2) wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362, 2341. 2328-2335). Update on dated 29-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam. Maine jis aurat se mutah kia tha uski muddat khatam hone se pehle kch halaat ki wajah se mene uspe baqi muddat baksh di thee. Ab hum dobara rujo krna chah rhe hain. Iska kya tareeqa hai ? Kya aurat ko pehle seeghe ki iddat poori krni hogi?
Answer: Merd ye ker sakta hay k jis aurat k sath os ne pehle muta kia ho or abhi oski iddat khatam nah hoe ho ho, os se daimi nikah ker lay ya dobara muta ker lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396). Update on dated 20-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Muttah kerne k baad Mars or aurat nikkah ker sakhte haen? Ager WO dono ak dusre ko pasand kerne lagain?qoitrat
Answer: Nikah e muta ki muddat khatam hone per ya phir bakhsh dainay k baad osi aurat se daimi nikah kia jasakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2473). Update on dated 16-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya shadi shuda orat jo k apny shohar se mutmaen na ho or zina se bachny k liye or apni pakdamni barkrar rakhny k liye muta parh sakti hai...??
Answer: jab tak aurat kisi k nikah men hay kisi or say nikah ya mutah nahi kr sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2365 ). Update on dated 30-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia marid orat mutha kar sakti ha ajar us ka husband 4 sal saa barone mulk ha
Answer: Jee nahi, jo aurat kisi k nikah main ho tu us k liay jaiz nahi hai k wo kisi or mard se nikah kare. Or shohar k k liay jaiz nahi hay ap. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 08-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai pochna chati hon k nikah murrah k bhd lrki ki zrooriat zndgi pura krna us lrky ki zmadari ma ata ha ya ni
Answer: Nikah e muta main shohar k zimme bivi ki zaroriyaat zindagi pora kerna zimmedari men nhi aata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2388). Update on dated 30-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).