Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4650
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ye nikah e mutta q jaiz hy hmary shia mazhab me kya daleel hy iski aiyma a.s ki trf sy?

Answer: 1-Quran majeed k sorah nisa ki ayat#24 main hay k “…………pas jab in aurtoon se muta karay on ki ujrat bataur e fareeza day day or fareeza k baad apas main riza mandi ho jaey tu koe haraj nahi bay shak allah aleem bhi hay or hakeem bhi hay” 2-Is ayat main aqd e muta ki taraf ishara kiya gaya hai jo tamam musalmano k ittefaaq se Sarkaar-e-do Aalam k ehed (zamaane) men halal tha or iska zikr sahi bukhari “kitabut targheeb fin nikah”. Sahi muslim baab e nikah e muta main maujood hay or fakhar razi (sunni alim or mufassir e quran) or allama tabri ( sunni alim or mu,arrikh) ne apni tafseer main iska ayteraaf kia hay or Peghamber e Islam (s.a.w.w) k bad umar bin khattaab ne osay haram qarar diya hay jis ka ayteraaf tamaam mufasireen o mo,arrikheen ne kia hai. Allama qoshji ne sharah e tajreed main likha hay k hazrat umar ne muta e nisa, muta e hajj(hajj e tamattu) or hayya alaa kheril amal teeno ko haram qarar de diya hay. Or fakhar e razi or tabri ne tafseer main Hazrat Ali a.s ka ye qawl naqal kia hay k agar umar ne muta haram nah ker diya hota tu siwaay bad bakht aadmi k koe zina na karta.Baaz ehl e sunnat nay riwayaat k saharay hokum e ayat ko mansookh sabit kerna chaha, halan keh ayat, riwayaat e ahaad (wo riwayat jo tawatur ki had tak nah ho) se mansookh nahi hoti or phir hazrat umar ka qaul, riwayaat k jaali honay ki wazeh daleel hay warna onhain haram kerne ki zarorat nahi perhti. Aqd e muta mehr, wirasat e aulaad, iddat waghira main nikah jaisay qawaneen ka hamil hay, sirif muddat k aytebaar se dono main farq rakha gaya hay.(Ref: Anwaarul Quran, Tarjuma Allama Zeeshan Haider Jawwadi, pg#197). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4719
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Janab mujhay maloom yeh karna hai kay. seghayee mutta...kiya urdu mai par saktay hain... agar haan tu kiya parha jayee...matlab usku kis tarahan say ada kiya jayee k sahi hooo?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per nikah (nikah k alfaz) arabi me parhe jaen agar khud mard aur aurat sahi arabi me nah parh sakte hoon to arabi k alawa kisi aur zaban me nikah parh sakte hain. Misaal k taur per pehle meher aur muddat (waqt e muta) moayan karne k baad aurat kahe k ((mene is meher per jo moayan ho chukka hai aur os waqt tak jo moayan ho chukka hai apne aap ko tumhari zaujiyat main diya)) us k foran baad mard kehe ((me ne is qabool kiya)) to nikah e muta sahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5032
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Muta k woh seeghay jo boy aur girl apas me baghair ksi gawah ya molana k parhtay hain woh konsy hain? woh seeghay bta den.plz reply as soon as posible

Answer: kunwari larki ka nikah mutta k liye apne walid ya dada se ijazat lena zaruri hai wrna mutta nahi hoga, Agr mard or orat khud Muta ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat (period) aur meher tay karney k bad pehlay aurat ye kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم) (Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma`loom) Or os k baad merd foran marf kahe (قبلت)(qabilto) tu nikah ho jay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-2343).Nikah men gawahon ka hona or nikah ka aylaan kerna wajib nahi hay balkeh mustahab hai, (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 3, Eidition 1417 hij) Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5046
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SAALM MUTTA KYA HAI CONTRACT MARRIAGE OR US MAI KYA DIFFERENCE HAI? IS K FIQA JAFERIA MAI KYA HAQIQAT HAI KYA AB B MUJTAHIDEEN ISK EJAZAT DAITY HAIN

Answer: 1) Contract Marriage (Muta) me aap ko nikah ki muddat aur meher mo`ayyan karnay k baad nikah ka seegha parh saktay hain or ayatullah sistani d.b is ki ijazat dete hen or aap nikah ki sharaet par amal kar k muta karay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-35). 2)wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5567
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera question ye hy k muta k ley larki ki man ijazat dy dy .ya us ki man ye kahy k main ny is k bap sy ijazat ly le hy to nikah mutta ho sakta hy y a larly ke us k bap sy khod bat karna zarori hy

Answer: Barah e rast walid ki ijazat k alfaz zaruri nahi hen balke koi bhi aysa sabab jis se bap ki rizayat ka yaqeen o itminan hojaye k larki ka bap razi hai to kaafi hai, lehaza agr larki ki maa k kehne se apko yaqeen or itminan ajaye k ye sach bol rahi hen k larki ka bap nikah e muta per razi hai to Nikah e mutta jaiz hoga. Albatta faqt larki ki walida ki ijazat kafi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 5836
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: S/a kya mutah ke lie baap ya dada ki ijazt zururi hai? Ya phir sexual intercourse ke lie ijazat zururi hai? Plz btae.

Answer: wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5933
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAM O ALYKAM MERA SAWAL HE K CHINA KI ORAT SE MUTTA JAEZ HE?

Answer: Chinees gher Ahl e Kitab kafir hen, lehaza unse nikah jaiz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5936
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kea ek shia larke, ek sunni laky say mutha kar sakte hai? plz ans me.

Answer: Jab tak Sunni larka Nikah e Mutta k Sharee hone ka aqeeda na rakhe tab tak kisi sunni larkay k liye Nikah e mutta sahi nahi hoga. Isi tarah ye nikah agr larki k apne deen o mazhab se gumrahi ka baais ho to bhi jaiz nahi hai.(Ref: Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11+ Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, Mafhoom e pg # 70). Update on dated 13-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5974
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIYA MARD APNI BIVI KA BINA BATAYE SHEMALE SE MUTA KAR SAKTA HAI?

Answer: Jee Haan agar ye sabit ho jaey k shemale larki hai or nikah ki sharaet mojood hoon tu muta kar sakta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6315
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya koi apna muta k seegha khud pdh skta h,means kisi maulana ki madad k bagair.agr pdh skta h to iska tareeka kya hoga aur iske seeghe kya hoge?Pls rply in detail.

Answer: 1) Jee haan larka or larki khud apna nikah-e-mutta k seghay parh sakte hen,Ehtiyaat e wajib ye he k nikah ka seegha (alfaz) sahi arabi me parhe jaen, or agar seegha arabi main na perh saktay hoon tu arabi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazimi nahi hay, dono ka baligh hona bhi zurari hai, dono seegha parhte waqt qasd-e-insha (nikah ka irada) rakhte hoon. 2)Iska tareeka ye hai k nikah se pehle nikah ki muddat aur meher taey karney k baad pehlay aurat kahe k (زوجتك نفسى فى المدة المعلومة على المهر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahay (قبلت)(qabiltu) to nikah ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334) 3-Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!