Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11121
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mutta jo larkiyan pasy lay kar I asa Kam karti hai.par shahdi shuda hoo tu un se mutta ho sakta hai Kiya

Answer: jab tak aurat kisi k nikah men hay kisi or say nikah ya mutah nahi kr sakti hay or agar koe aurat zina main mashoor ho tu nikah ka sahi hone main ishkaal hay siwaey ye keh tauba kane k baad sahi hoga, lehaza ehtiyaat k taqazo ko tark nah kia jaey.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #2365, minhajus saliheen, jild#3, ayatullah sistani d.b,maslah#261). [Updated on 28-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11573
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera sawal yeh hain main ik larki se pyr karta jo ka virgin and wo be moj se pyr karte hm dono matya kar sekhty hai kya.. alsyai ka hm jo bate karte hai aska gunh na ho ya koi or kaam hojye oska gunh hme na mile.....

Answer: wsalam.jee mutaa agar mukammal sharait k saath kia jaaye tou mutaa durust hoga.lekin mutaa ki chand sharait hain jese k larka or larki dono raazi ho.or agar larki kunwari ho tu larki k wali ( yani baap ya dada) ki ijaazat ho,seeghay sahi parhay jaaye wagera....(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11829
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi shuda eesai lrki se mutta ho skta hai

Answer: jab tak aurat kisi k nikah men ho kisi or say nikah ya mutah nahi kr sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #2365, minhajus saliheen, jild#3, ayatullah sistani d.b,maslah#261) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11931
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum YAA ALI A.S MADAD Kiya aik hee shaks se dubara mutta Kiya ja skta Hai k aik bar khatam kar K 3 month K andar dubara agr Ussi shaks se mutta krna chahen to hoskta hai

Answer: Merd ye ker sakta hay k jis aurat k sath os ne pehle muta kia ho or abhi oski iddat khatam nah hoe ho ho, os se daimi nikah ker lay ya dobara muta ker lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396) [Updated on 09-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12500
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kanwari larki k sath mota jaiz Hai agr uski maa or bap razi hn tu

Answer: jee bilkul agar wo larki khud raazi hai or us ka baap bhi raazi hai or deegar tamaam sharait poori hai tou muta hosakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335-2341). [Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12722
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kaya mohrram main mutta Kar sakte hai

Answer: agar tamaam sharait poori hon tou bazat e khud mutta karne mai koi harj nahi hai. شادی بیاہ ،گھر تبدیل کرنا اور اس طرح کے کام کرنا محرم ،یا سفر یا اماموں(یا اہل بیت ) کی شہادتوں کے ایام میں شرعاً حرام نہیں ہیں جب تک کہ ان سے ایام عزاء کی ہتک حرمت نہ ہوتی ہو(اور اگر ان ایام کی ہتک حرمت ہوتی ہو تو یہ کام جائز نہیں ہونگے ) جیسا کہ روزعاشوراء خوشیاں منانا اور زیب و آرائیش کرنا،البتہ مناسب(بہتر ) یہ ہے کہ انسان اہل بیتؑ کے ایام مصیبت میں ان کاموں کی انجام دہی سے اجتناب کرے کہ جو کام عام طور پر وہ اپنے احباب کی مصیبت میں بھی انجام نہیں دیتا مگر یہ کے عرفاً ضروری کام ہو (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,sistani.org ,urdu,topic shaaere hussainia, sawaal no:1) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12804
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: How do me do mutah

Answer: 1)Nikah chahe daimi ho ya ghair daimi (yani muta) is main seegha (nikah k bool (alfaz) perhna zarori hay, aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah faqat (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hai, Aqd e nikah ki khuch shartain hain jin me se khuch ye hain k:- 1-Ehtiyaat e wajib he k nikah ka seeghah sahi arabi me parha jaey,or agar khud mard or aurat sighah arabi men na perh saktay hoon tu arabi k Alawa kisi dosri zaban main parh saktay hain or kisi ko vakil banana lazimi nahi hay. 2- sighah parhne wala aqal-mand ho or agar apne liay perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3- Merd or aurat or uska vakil sighah parhte waqt qasd e insha (nikah ka irada) rakhte hon. Or wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. 2)Gher Daaimi Aqad (Mutta) wo nikah hai jis men izdiwaj (shadi) ki muddat moayyan hoti hai, Misaal.. orat k sath ek ghante ya ek din ya ek mahine ya ek saal ya is se ziayada muddat k liay aqad kiya jaey, lekin is nikah ki muddat orat or mard ki dono men se ek ki aam umar se ziyada nahi honi chahiye q k is surat men nikah (mutta) batil hojaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # after the masla no # 2328,2335). [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12830
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hmare mazhab mai mutah jaiz hai ke nahi jab rasool Allah or molaali a.s ne jang e khaiber mai mutah ko khatam kar diya tha to mutah ko kiun jaiz qarar diya gaya?

Answer: Islam main Muta jaiz hai or sharee haisiyat rakhta hai, or Rasool Akram (s.a.w.w) k zamane men raaij tha (or Rasool Allah ne APne zindaghe me khatam nahe kia tha ,or ahele bait ka ittefaaq hay ke muta jaaiz hay or ahele suunnat ki books me ye baat moujood hay ke muta Rasool allah ke door me kia ashaabe Rasool karte the or kalifa awaal ke door me bhe muta jaaiz tha phir kalifa sani ummar ne is muta ko Haram kia ye khe kar ke muta Rasool Allah ke zamane me jaiz tha me is ko haraam karta Hoon (ref.taareekhe kulafaa,allama jalaluddeen suyuti) or Quraan majeed men Bhi Surah Nisa Ki Ayat#24 men zikr mojood hai.(Ref: Tafseer e Namoona Vol # 03, Pg # 241-242-243). [Updated on 14-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12838
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alikum sir Suni larke sae mutta kia jasakta hy??

Answer: Jab tak Sunni larka Nikah e Mutta k Sharee hone ka aqeeda na rakhe tab tak kisi sunni larke k liay Nikah e muta sahi nahi hoga. (Ref: Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11). [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12942
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia larki shadi shuda hone k bawajood kisi dusre shadi shuda larke se mutah krskti Hy?

Answer: Jee nahi ye haraam hai or is tarah muta nahi ho sakta. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2366). [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!